Nikalna khuld se adam ka sunte aye hain lekin
Bohat be aabru ho kar tere kooche se hum nikle
Be dar o deewar sa ek ghar banana chahie
Koi humsaya na ho aur paasban koi na ho
Bana kar faqeeron ka hum bhais ghalib
Tamashaye ahl e karam dekhty hain
Ishq main tabiyat ne zeest ka maza paaya
Dard ki dawa paai, Dard be dawa paaya
Mehrbaan ho k bula lo mujhe chaho jis waqt
Main gya waqt nahi hoon k phir aa bhi na sakon
Bas k dushwar hai har kaam ka aasan hona
Aadmi ko bhi muyassar nahi insan hona
Mohabbat main nahi farq jeene aur marne ka
Usi ko dekh kar jeetay hain jis kafir pe dam nikle
Hum ne maana k taghaful na karo ge lekin
Khaak ho jayen ge hum tumko khabar honay tak
Ug raha hai dar o deewar pe sabza ghalib
Hum byaban main hain aur ghar main bahar ai hai
Ye na thi hamari qismat ke visaal-e-yaar hota
Agar aur jeetay rehtay yahi intzar hota
Ranj se khoogar ho insan tou mit jta hai ranj
Mushkilen mujh par parin itni k aasan ho gayin
Hum kahan k daana thy kis hunar main yakta thy
Besbab hua ghalib dushman aasman apna
Ki mere qatal k baad us ne jafa se touba
Haye us zod-e-pasheman ka pasheman hona
Na kuch tha tou khuda tha, kuch na hota tou khuda hota
Daboya mujhko honay ne, na hota main tou kya htoa
Rahi na taqat-e-guftaar, aur agar ho bhi
Tou kis umeed pe kahiye k aarzoo kya hai
Sehra ko bara aalam hai apni tanhai par Ghalib
Us ne dekha nahi aalam meri tanhai ka
Kon hai jo nahi hai haajat mand
Kis ko haajat rawa kare koi
Main bhi muhn main zuban rakhta hoon
Kash pucho k madua kya hai
Hum ne maana k kuch nahi ghalib
Muft haath aye tou bura kya hai
Moat ka ek din moeen hai
Neend kyun raat bhar nahi ati
Agy ati thi haal e dil pe hansi
Ab kisi baat par nahi aati
Achi soorat bhi kya buri shay hai
Jis ne daali buri nazar daali
Be-khudi be sabab nahi Ghalib
Kuch to hai jiski parda dari hai
Dil-e-Nadan tujhe hoa kya hai
Akhir is dard ki dawa kya hai
Kaaba kis munh se jao ge Ghalib
Sharam tumko magar nahi aati
Qataa kijye na taluq hum se
Kuch nahi hai tou adawat hi sahi
Na suno gar bura kahe koi
Na kaho gar bura karay koi
Hum ko unse wafa ki hai umeed
Jo nahi jantay wafa kya hai
Dekh kar pooch lia haal mera
Chalo kuch to khayal karte ho
Dard ho dil main to dawa kijye
Dil hi jab dard ho tou kya kijye
Ham Ko Ma.Alūm Hai Jannat Kī Haqīqat Lekin
Dil Ke Ḳhush Rakhne Ko 'Ġhālib' Ye Ḳhayāl Achchhā Hai
Ishq Ne 'Ġhālib' Nikammā Kar Diyā
Varna Ham Bhī Aadmī The Kaam Ke
Mohabbat Meñ Nahīñ Hai Farq Jiine Aur Marne Kā
Usī Ko Dekh Kar Jiite Haiñ Jis Kāfir Pe Dam Nikle
Is Sādgī Pe Kaun Na Mar Jaa.E Ai Ḳhudā
Laḍte Haiñ Aur Haath Meñ Talvār Bhī Nahīñ
Un Ke Dekhe Se Jo Aa Jaatī Hai Muñh Par Raunaq
Vo Samajhte Haiñ Ki Bīmār Kā Haal Achchhā Hai
Hazāroñ Ḳhvāhisheñ Aisī Ki Har Ḳhvāhish Pe Dam Nikle
Bahut Nikle Mire Armān Lekin Phir Bhī Kam Nikle
Ye Na Thī Hamārī Qismat Ki Visāl-E-Yār Hotā
Agar Aur Jiite Rahte Yahī Intizār Hotā
Ragoñ Meñ Dauḍte Phirne Ke Ham Nahīñ Qaa.Il
Jab Aañkh Hī Se Na Tapkā To Phir Lahū Kyā Hai
Ishq Par Zor Nahīñ Hai Ye Vo Ātish 'Ġhālib'
Ki Lagā.E Na Lage Aur Bujhā.E Na Bane
Ishrat-E-Qatra Hai Dariyā Meñ Fanā Ho Jaanā
Dard Kā Had Se Guzarnā Hai Davā Ho Jaanā
Vo Aa.E Ghar Meñ Hamāre Ḳhudā Kī Qudrat Hai
Kabhī Ham Un Ko Kabhī Apne Ghar Ko Dekhte Haiñ
Na Thā Kuchh To Ḳhudā Thā Kuchh Na Hotā To Ḳhudā Hotā
Duboyā Mujh Ko Hone Ne Na Hotā Maiñ To Kyā Hotā
In Nothingness God Was There, If Naught He Would Persist
Existence Has Sunk Me, What Loss, If I Did'nt Exist
Be-Ḳhudī Be-Sabab Nahīñ 'Ġhālib'
Kuchh To Hai Jis Kī Parda-Dārī Hai
Ham Ko Un Se Vafā Kī Hai Ummīd
Jo Nahīñ Jānte Vafā Kyā Hai
Rañj Se Ḳhūgar Huā Insāñ To Mit Jaatā Hai Rañj
Mushkileñ Mujh Par Paḍīñ Itnī Ki Āsāñ Ho Ga.Iiñ
Ā.Īna Kyuuñ Na Duuñ Ki Tamāshā Kaheñ Jise
Aisā Kahāñ Se Lā.Ūñ Ki Tujh Sā Kaheñ Jise
Reḳhte Ke Tumhīñ Ustād Nahīñ Ho Ghālib
Kahte Haiñ Agle Zamāne Meñ Koī 'Mīr' Bhī Thā
Haiñ Aur Bhī Duniyā Meñ Suḳhan-Var Bahut Achchhe
Kahte Haiñ Ki 'Ġhālib' Kā Hai Andāz-E-Bayāñ Aur
Aah Ko Chāhiye Ik Umr Asar Hote Tak
Kaun Jiitā Hai Tirī Zulf Ke Sar Hote Tak
Bas-Ki Dushvār Hai Har Kaam Kā Āsāñ Honā
Aadmī Ko Bhī Muyassar Nahīñ Insāñ Honā
Dil Hī To Hai Na Sañg-O-Ḳhisht Dard Se Bhar Na Aa.E Kyuuñ
Ro.Eñge Ham Hazār Baar Koī Hameñ Satā.E Kyuuñ
Ishq Se Tabī.At Ne Ziist Kā Mazā Paayā
Dard Kī Davā Paa.Ī Dard-E-Be-Davā Paayā
Maut Kā Ek Din Muayyan Hai
Niind Kyuuñ Raat Bhar Nahīñ Aatī
Ye Kahāñ Kī Dostī Hai Ki Bane Haiñ Dost Nāseh
Koī Chārasāz Hotā Koī Ġham-Gusār Hotā
Ham Ne Maanā Ki Taġhāful Na Karoge Lekin
Ḳhaak Ho Jā.Eñge Ham Tum Ko Ḳhabar Hote Tak
Bāzīcha-E-Atfāl Hai Duniyā Mire Aage
Hotā Hai Shab-O-Roz Tamāshā Mire Aage
Pūchhte Haiñ Vo Ki 'Ġhālib' Kaun Hai
Koī Batlāo Ki Ham Batlā.Eñ Kyā
Bazicha-E-Atfal Hai Duniya Mere Age
Hota Hai Shab-O-Roz Tamasha Mere Age
Ik Khel Hai Aurang-E-Suleman Mere Nazdik
Ik Bat Hai Ejaz-E-Masiha Mere Age
Juz Nam Nahi Surat-E-Alam Mujhe Manzur
Juz Waham Nahi Hasti-E-Ashiya Mere Age
Hota Hai Nihan Gard Mein Sehra Mere Hote
Ghista Hai Jabin Khak Pe Dariya Mere Age
Mat Puch K Kya Hal Hai Mera Tere Piche
Tu Dekh K Kya Rang Hai Tera Mere Age
Sach Kahte Ho Khudbin-O-Khudara Hun Na Kyon Hun
Baitha Hai But-E-Aina Sima Mere Age
Phir Dekhiye Andaz-E-Gulafshani-E-Guftar
Rakh De Koi Paimana-E-Sahba Mere Age
Nafrat Ka Guman Guzre Hai Main Rashk Se Guzra
Kyon Kar Kahun Lo Nam Na Us Ka Mere Age
Iman Mujhe Rok Hai Jo Khinche Hai Mujhe Kufr
Kaba Mere Piche Hai Kalisa Mere Age
Ashiq Hun Pe Mashuqfarebi Hai Mera Kam
Majnun Ko Bura Kahti Hai Laila Mere Age
Khush Hote Hain Par Wasl Mein Yun Mar Nahi Jate
Ai Shab-E-Hijaran Ki Tamanna Mere Age
Hai Maujzan Ik Qulzum-E-Khun Kash! Yahi Ho
Ata Hai Abhi Dekhiye Kya-Kya Mere Age
Go Hath Ko Jumbish Nahi Ankhon Mein To Dam Hai
Rahne Do Abhi Sagar-O-Mina Mere Age
Hampesha-O-Hammasharab-O-Hamraz Hai Mera
'Ghalib' Ko Bura Kyon Kaho Acha Mere Age
Dil-E-Nadan Tujhe Hua Kya Hai
Akhir Is Dard Ki Dawa Kya Hai
Ham Hain Mushtaq Aur Wo Bezar
Ya Ilahi Ye Majara Kya Hai
Main Bhi Munh Mein Zaban Rakhta Hun
Kash Pucho K Mudda Kya Hai
Jab K Tujh Bin Nahi Koi Maujud
Phir Ye Hangama, Ai Khuda Kya Hai
Ye Pari Chehra Log Kaise Hain
Gamaza-O-Ishwa-O-Ada Kya Hai
Shikan-E-Zulf-E-Ambari Kyon Hai
Nigah-E-Chashm-E-Surma Sa Kya Hai
Sabza-O-Gul Kahan Se Aye Hain
Abr Kya Chiz Hai Hawa Kya Hai
Hamko Unse Wafa Ki Hai Ummid
Jo Nahi Jante Wafa Kya Hai
Han Bhala Kar Tera Bhala Hoga
Aur Darwesh Ki Sada Kya Hai
Jan Tum Par Nisar Karta Hun
Main Nahi Janta Dua Kya Hai
Main Ne Mana K Kuch Nahi 'Ghalib'
Muft Hath Aye To Bura Kya Hai
Dil Hi To Hai Na Sang-O-Khisht Dard Se Bhar Na Aye Kyun
Roenge Ham Hazar Bar Koi Hamein Sataye Kyun
Dair Nahi Haram Nahi Dar Nahi Astan Nahi
Baithe Hain Rahguzar Pe Ham Gair Hamein Uthaye Kyun
Jab Wo Jamal-E-Dilfaroz, Surat-E-Mahr-E-Nimaroz
Ap Hi Ho Nazrasoz, Parde Mein Munh Chupaye Kyun
Dashna-E-Gamza Jansitan, Nawak-E-Naz Bepanah
Tera Hi Aks-E-Rukh Sahi, Samane Tere Aye Kyun
Qaid-E-Hayat-O-Band-E-Gam Asl Mein Donon Ek Hain
Maut Se Pahle Admi Gam Se Najat Paye Kyun
Husn Aur Us Pe Husn-E-Zan Rah Gai Bulahawas Ki Sharm
Apne Pe Etimad Hai Gair Ko Azamaye Kyun
Wan Wo Guroor-E-Izz-O-Naz Yan Ye Hijab-E-Pas Waza
Rah Mein Ham Milen Kahan, Bazm Mein Wo Bulayen Kyun
Han Wo Nahi Khudaparast, Jao Wo Bewafa Sahi
Jisko Ho Din-O-Dil Aziz, Us Ki Gali Mein Jaye Kyun
"Ghalib"-E-Khasta K Bagair Kaun Se Kam Band Hain
Roie Zar-Zar Kya, Kijie Haye-Haye Kyun
Gam-E-Duniya Se Gar Pai Bhi Fursat Sar Uthane Ki
Falak Ka Dekhna Taqrib Tere Yad Ane Ki
Khulega Kis Tarah Mazmun Mere Maktub Ka Yarab
Qasam Khai Hai Us Kafir Ne Kagaz K Jalane Ki
Lipatna Paraniyan Main Shola-E-Atish Ka Asan Hai
Wale Mushkil Hai Hikmat Dil Main Soz-E-Gam Chupane Ki
Unhen Manzur Apne Zakhmiyon Ka Dekh Ana Tha
Uthe The Sair-E-Gul Ko Dekhna Shokhi Bahane Ki
Hamari Sadagi Thi Iltafat-E-Naz Par Marna
Tera Ana Na Tha Zalim Magar Tamahid Jane Ki
Laqad-Kob-E-Hawadis Ka Tahammul Kar Nahin Sakti
Meri Taqat K Zamin Thi Buton K Naz Uthane Ki
Kahun Kya Khubi-E-Auzag-E-Ibna-E-Zaman "Ghalib"
Badi Ki Usne Jis Se Hamne Ki Thi Barha Neki
Har Ek Bat Pe Kahte Ho Tum K Tu Kya Hai
Tumhin Kaho K Ye Andaz-E-Guftagu Kya Hai
Na Shole Mein Ye Karishma Na Barq Mein Ye Ada
Koi Batao Ki Wo Shokh-E-Tundakhu Kya Hai
Ye Rashk Hai K Wo Hota Hai Hamsukhan Hamse
Wagarna Khauf-E-Badamozi-E-Ad Kya Hai
Chipak Raha Hai Badan Par Lahu Se Pairahan
Hamari Jeb Ko An Hajat-E-Rafu Kya Hai
Jala Hia Jism Jahan Dil Bhi Jal Gaya Hoga
Kuredate Ho Jo Ab Rakh Justaju Kya Hai
Ragon Mein Daurate Phirne K Ham Nahi Qayal
Jab Ankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahu Kya Hai
Wo Chiz Jis K Liye Ham Ko Ho Bahisht Aziz
Siwae Bada-E-Gulfam-E-Mushkabu Kya Hai
Piyun Sharab Agar Khum Bhi Dekh Lun Do Char
Ye Shisha-O-Qadah-O-Kuza-O-Subu Kya Hai
Rahi Na Taqat-E-Guftar Aur Agar Ho Bhi
To Kis Ummid Pe Kahiye K Arazu Kya Hai
Bana Hai Shah Ka Musahib, Phire Hai Itarata
Wagarna Shahar Mein "Ghalib" Ki Abaru Kya Hai
Hazaron Khwahishen Aisi K Har Khwaish Pe Dam Nikle
Bahut Nikle Mere Arman Lekin Phir Bhi Kam Nikle
Dare Kyun Mera Qatil Kya Rahega Usaki Gardan Par
Wo Khun Jo Chashm-E-Tar Se Umr Bhar Yun Dam-Ba-Dam Nikle
Nikalna Khuld Se Adam Ka Sunte Aye Hain Lekin
Bahut Be-Abaru Hokar Tere Kuche Se Ham Nikle
Bharam Khul Jaye Zalim Tere Qamat Ki Darazi Ka
Agar Is Turra-E-Purapech-O-Kham Ka Pech-O-Kham Nikle
Magar Likhwaye Koi Us Ko Khat To Hamase Likhawaye
Hui Subah Aur Ghar Se Kan Par Rakkhar Qalam Nikle
Hui Is Daur Mein Mansub Mujhse Bada-Ashmi
Phir Aya Wo Zamana Jo Jahan Se Jam-E-Jam Nikle
Hui Jinse Tawaqqo Khastagi Ki Dad Pane Ki
Wo Hamse Bhi Ziyada Khasta-E-Teg-E-Sitam Nikle
Muhabbat Mein Nahi Hai Farq Jine Aur Marne Ka
Usi Ko Dekh Kar Jite Hain Jis Kafir Pe Dam Nikle
Zara Kar Jor Sine Par Ki Tir-E-Pursitam Nikle
Jo Wo Nikle To Dil Nikle Jo Dil Nikle To Dam Nikle
Khuda K Waste Parda Na Kabe Se Utha Zalim
Kahi Aisa Na Ho Yan Bhi Wahi Kafir Sanam Nikle
Kahan Maikhane Ka Darwaza 'Ghalib' Aur Kahan Waiz
Par Itna Jante Hain Kal Wo Jata Tha K Ham Nikle
Ibn-E-Mariym Hua Kare Koi
Mere Dukh Ki Dawa Kare Koi
Shura-O-Ain Par Madar Sahi
Aise Qatil Ka Kya Kare Koi
Chal Jaise Kadi Kaman Ka Tir
Dil Main Aise K Ja Kare Koi
Bat Par Wan Zuban Katti Hai
Wo Kahen Aur Suna Kare Koi
Bak Raha Hun Junun Main Kya Kya Kuch
Kuch Na Samjhe Khuda Kare Koi
Na Suno Gar Bura Kahe Koi
Na Kaho Gar Bura Kare Koi
Rok Lo Gar Galat Chale Koi
Bakhsh Do Gar Khata Kare Koi
Kaun Hai Jo Nahi Hai Hajatmand
Kiski Hajat Rawa Kare Koi
Kya Kiya Khijr Ne Sikandar Se
Ab Kise Rahnuma Kare Koi
Jab Tawaqqo Hi Uth Gayi "Ghalib"
Kyon Kisi Ka Gila Kare Koi
Ishq Mujhko Nahi Wahshat Hi Sahi
Meri Wahshat Teri Shohrat Hi Sahi
Qata Kije Na Talluq Ham Se
Kuch Nahi Hai To Adawat Hi Sahi
Mere Hone Mein Hai Kya Ruswai
Ye Wo Majlis Nahi Khalwat Hi Sahi
Ham Bhi Dushman To Nahi Hain Apne
Gair Ko Tujh Se Mohabbat Hi Sahi
Apni Hasti Hi Se Ho Jo Kuch Ho
Agahi Gar Nahi Gaflat Hi Sahi
Umr Har Chand Ki Hai Barq-E-Khiram
Dil K Khun Karne Ki Fursat Hi Sahi
Ham Koi Tarq-E-Wafa Karte Hain
Na Sahi Ishq Musibat Hi Sahi
Kuch To De Ai Falak-E-Nainsaf
Ah-O-Fariyad Ki Rukhsat Hi Sahi
Ham Bhi Taslim Ki Khu Dalenge
Beniyazi Teri Adat Hi Sahi
Yar Se Cheda Chali Jaye "Asad"
Gar Nahi Wasl To Hasrat Hi Sahi
Kabhi Neki Bhi Us K Ji Main A Jaye Hai Mujhse
Jafayen Kark Apni Yad Sharma Jaye Hai Mujhse
Khudaya! Jazba-E-Dil Ki Magar Tasir Ulti Hai
K Jitna Khenchta Hun Aur Khinchta Jaye Hai Mujhse
Wo Bad Khu Aur Meri Dastan-E-Ishq Tulani
Ibarat Mukhtasar, Qasid Bhi Ghabra Jaye Hai Mujhse
Udhar Wo Badgumani Hai, Idhar Ye Natawani Hai
Na Pucha Jaye Hai Usse, Na Bola Jaye Hai Mujhse
Sanbhalne De Mujhe Ae Naumidi, Kya Qayamat Hai
K Damane Khayale Yar Chuta Jaye Hai Mujhse
Takalluf Bar Taraf Nazzaragi Mein Bhi Sahi, Lekin
Wo Dekha Jaye, Kab Ye Zulm Dekha Jaye Hai Mujhse
Hue Hain Paon Hi Pahle Nabard-E-Ishq Mein Zakhmi
Na Bhaga Jaye Hai Mujhse, Na Thahra Jaye Hai Mujhse
Qayamat Hai K Hoe Muddai Ka Hamsafar Ghalib
Wo Kafir, Jo Khuda Ko Bhi Na Saunpa Jaye Hai Mujhse
Koi Ummid Bar Nahi Ati
Koi Surat Nazar Nahi Ati
Maut Ka Ek Din Muayyan Hai
Nind Kyon Rat Bhar Nahi Ati
Age Ati Thi Hal-E-Dil Pe Hansi
Ab Kisi Bat Par Nahi Ati
Janta Hun Sawab-E-Tahat-O-Zahad
Par Tabiyat Idhar Nahi Ati
Hai Kuch Aisi Hi Bat Jo Chup Hun
Warna Kya Bat Kar Nahi Ati
Kyon Na Chikhun K Yad Karte Hain
Meri Awaz Gar Nahi Ati
Dag-E-Dilgarnazar Nahi Ata
Bu Bhi Ai Charagar Nahi Ati
Ham Wahan Hain Jahan Se Ham Ko Bhi
Kuch Hamari Khabar Nahi Ati
Marte Hain Arzu Mein Marne Ki
Maut Ati Hai Par Nahi Ati
Kaba Kis Munh Se Jaoge 'Ghalib'
Sharm Tumko Magar Nahi Ati
Muddat Hui Hai Yar Ko Mahman Kiye Hue
Josh-E-Qadah Se Bazm Charagan Kiye Hue
Karta Hun Jama Phir Jigar-E-Lakht-Lakht Ko
Arsa Hua Hai Dawat-E-Mizshgan Kiye Hue
Phir Waza-E-Ehtiyat Se Rukne Laga Hai Dam
Barason Hue Hain Chak Gireban Kiye Hue
Phir Garmnala Haye Shararbar Hai Nafas
Muddat Hui Hai Sair-E-Charagan Kiye Hue
Phir Pursish-E-Jarahat-E-Dil Ko Chala Hai Ishq
Saman-E-Sadhzar Namakdan Kiye Hue
Phir Bhar Raha Hun Khama-E-Mizshgan Bakhun-E-Dil
Saz-E-Chamantarazi-E-Daman Kiye Hue
Bahamdigar Hue Hain Dil-O-Dida Phir Raqib
Nazara-O-Khayal Ka Saman Kiye Hue
Dil Phir Tawaf-E-Ku-E-Malamat Ko Jaye Hai
Pindar Ka Sanam Kada Wiran Kiye Hue
Phir Shauq Kar Raha Hai Kharidar Ki Talab
Arz-E-Mata-E-Aql-O-Dil-O-Jan Kiye Hue
Daude Hai Phir Har Ek Gul-O-Lala Par Khayal
Sadgulsitan Nigah Ka Saman Kiye Hue
Phir Chahta Hun Nama-E-Dildar Kholna
Jan Nazar-E-Dilfarebi-E-Unwan Kiye Hue
Mange Hai Phir Kisi Ko Lab-E-Bam Par Hawas
Zulf-E-Siyah Rukh Pe Pareshan Kiye Hue
Chahe Phir Kisi Ko Muqabil Mein Arzu
Surme Se Tez Dashna-E-Mizshgan Kiye Hue
Ik Naubahar-E-Naz Ko Tak Hai Phir Nigah
Chehra Furog-E-Mai Se Gulistan Kiye Hue
Phir Ji Mein Hai K Dar Pe Kisi K Pare Rahen
Sar Zer Bar-E-Minnat-E-Darban Kiye Hue
Ji Dhundta Hai Phir Wahi Fursat K Rat Din
Baithe Rahen Tasawur-E-Janan Kiye Hue
'Ghalib' Hamain Na Cher K Phir Josh-E-Ashk Se
Baithe Hain Ham Tahayya-E-Tufan Kiye Hue
Na Hui Gar Mere Marne Se Tasalli Na Sahi
Imtihan Aur Bhi Baqi Ho To Ye Bhi Na Sahi
Khar-Khar-E-Alam-E-Hasrat-E-Didar To Hai
Shauq Gulshin-E-Gulistan-E-Tasalli Na Sahi
May Parastan Khum-E-May Munh Se Lagaye Hi Bane
Ek Din Gar Na Hua Bazm Mein Saqi Na Sahi
Nafaz-E-Qais K Hai Chashm-O-Charag-E-Sahra
Gar Nahi Shama-E-Siyahakhana-E-Laila Na Sahi
Ek Hangame Pe Maukuf Hai Ghar Ki Raunak
Noh-E-Gam Hi Sahi, Nagma-E-Shadi Na Sahi
Na Sataish Ki Tamanna Na Sile Ki Parwah
Gar Nahi Hai Mere Ashar Mein Mane Na Sahi
Ishrat-E-Sohabat-E-Khuban Hi Ganimat Samjho
Na Hui "Ghalib" Agar Umr-E-Tabii Na Sahi
Na Tha Kuch To Khuda Tha, Kuch Na Hota To Khuda Hota
Duboya Mujh Ko Hone Ne, Na Hota Main To Kya Hota
Hua Jab Gam Se Yun Behis To Gam Kya Sar K Katne Ka
Na Hota Gar Juda Tan Se To Zannon Par Dhara Hota
Hui Muddat K 'Ghalib' Mar Gaya Par Yad Ata Hai
Wo Har Ek Bat Pe Kahna K Yun Hota To Kya Hota
Phir Kuch Is Dil Ko Beqarari Hai
Sina Zoya-E-Zakhm-E-Kari Hai
Phir Jigar Khodne Laga Nakhun
Amad-E-Fasl-E-Lalakari Hai
Qibla-E-Maqsad-E-Nigah-E-Niyaz
Phir Wahi Parda-E-Ammari Hai
Chashm-E-Dallal-E-Jins-E-Ruswai
Dil Kharidar-E-Zauq-E-Khwari Hai
Wahi Sadrang Nala Farsai
Wahi Sadguna Ashqbari Hai
Dil Hawa-E-Khiram-E-Naz Se Phir
Mahshristan-E-Beqarari Hai
Jalwa Phir Arz-E-Naz Karta Hai
Roz-E-Bazar-E-Jansupari Hai
Phir Usi Bewafa Pe Marte Hain
Phir Wahi Zindagi Hamari Hai
Phir Khula Hai Dar-E-Adalat-E-Naz
Garm Bazar-E-Faujdari Hai
Ho Raha Hai Jahan Mein Andher
Zulf Ki Phir Sarishtadari Hai
Phir Diya Para-E-Jigar Ne Sawal
Ek Fariyad-O-Ah-O-Zari Hai
Phir Hue Hain Gawah-E-Ishq Talab
Ashqbari Ka Hukmzari Hai
Dil-O-Mizshgan Ka Jo Muqadma Tha
Aj Phir Us Ki Rubqari Hai
Bekhudi Besabab Nahi 'Ghalib'
Kuch To Hai Jis Ki Pardadari Hai
Wo Firaq Aur Wo Wisal Kahan
Wo Shab-O-Roz-O-Mah-O-Sal Kahan
Fursat-E-Karobar-E-Shauq Kise
Zauq-E-Nazara-E-Jamal Kahan
Dil To Dil Wo Dimag Bhi Na Raha
Shor-E-Sauda-E-Khat-O-Khal Kahan
Thi Wo Ik Shakhs K Tasawur Se
Ab Wo Ranai-E-Khayal Kahan
Aisa Asan Nahi Lahu Rona
Dil Mein Taqat Jigar Mein Hal Kahan
Hamse Chuta Qomarkhana-E-Ishq
Wan Jo Jayen Girah Mein Mal Kahan
Fikr-E-Dunya Mein Sar Khpata Hun
Main Kahan Aur Ye Wabal Kahan
Muzmahil Ho Gaye Quwe 'Ghalib'
Wo Anasir Mein Aitadal Kahan
Ye Na Thi Hamari Qismat K Wisal-E-Yar Hota
Agar Aur Jite Rahte Yahi Intzar Hota
Tere Wade Par Jiye Ham To Ye Jan Jhuth Jana
K Khushi Se Mar Na Jate Agar Aitbar Hota
Teri Nazuki Se Jana K Bandha Tha Ahdboda
Kabhi Tu Na Tor Sakta Agar Ustawar Hota
Koi Mere Dil Se Puche Tere Tir-E-Nimakash Ko
Ye Khalish Kahan Se Hoti Jo Jigar K Par Hota
Ye Kahan Ki Dosti Hai K Bane Hain Dost Naseh
Koi Charasaz Hota, Koi Gamgusar Hota
Rag-E-Sang Se Tapakta Wo Lahu K Phir Na Thamta
Jise Gam Samajh Rahe Ho Ye Agar Sharar Hota
Gam Agarche Jangusil Hai, Pe Kahan Bachen K Dil Hai
Gam-E-Ishq Gar Na Hota, Gam-E-Rozgar Hota
Kahun Kis Se Main K Kya Hai, Shab-E-Gam Buri Bala Hai
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Bar Hota
Hue Mar K Ham Jo Ruswa, Hue Kyon Na Garq-E-Dariya
Na Kabhi Janaza Uthta, Na Kahin Mazar Hota
Use Kiun Dekh Sakta Ki Yagana Hai Wo Yakta
Jo Dui Ki Bu Bhi Hoti To Kahin Do Char Hota
Ye Masail-E-Tasawuf, Ye Tera Bayan 'Ghalib'
Tujhe Ham Wali Samajhte, Jo Na Badkhwar Hota
Zulmatkade Mein Mere Shab-E-Gam Ka Josh Hai
Ik Shamma Hai Dalil-E-Sahar, So Khamosh Hai
Na Muzda-E-Wisal Na Nazara-E-Jamal
Muddat Hui K Ashti-E-Chashm-O-Gosh Hai
Mai Ne Kiya Hai Husn-E-Khudara Ko Behijab
Ae Shauq Yan Ijazat-E-Taslim-E-Hosh Hai
Gauhar Ko Ikd-E-Gardan-E-Khuban Mein Dekhna
Kya Auj Par Sitara-E-Gauharfarosh Hai
Didar, Wada, Hosla, Saqi, Nigah-E-Mast
Bazm-E-Khayal Maikada-E-Bekharosh Hai
Ae Taza Waridan-E-Bisat-E-Hawa-E-Dil
Zinhar Gar Tumhen Hawas-E-Nao-Nosh Hai
Dekho Mujhe Jo Dida-E-Ibaratnigah Ho
Meri Suno Jo Gosh-E-Nasihat Niyosh Hai
Saqi Bajalwa Dushman-E-Iman-O-Agahi
Mutarib Banagma Rahzan-E-Tamkin-O-Hosh Hai
Ya Shab Ko Dekhte The Ki Har Gosha-E-Bisat
Daman-E-Bagban-O-Kaf-E-Gulfarosh Hai
Lutf-E-Khiram-E-Saqi-O-Zauq-E-Sada-E-Chang
Ye Jannat-E-Nigah Wo Firdus-E-Gosh Hai
Ya Subh Dam Jo Dekhiye Akar To Bazm Mein
Na Wo Surur-O-Soz Na Josh-O-Khrosh Hai
Dag-E-Firaq-E-Sohbat-E-Shab Ki Jali Hui
Ik Shamma Rah Gai Hai So Wo Bhi Khamosh Hai
Ate Hain Gaib Se Ye Mazamin Khayal Mein
'Ghalib', Sarir-E-Khama Nawa-E-Sarosh Hai
Thaka Gaya Hai Musalsal Safar Udasi Ka
Aur Ab Bhi Hai Mere Shane Pe Sir Udasi Ka
Woh Koun Kemiya Gar Tha Ke Jo Bikher Gaya
Tere Gulab Se Chehre Pe Zarr Udasi Ka
Mere Wajod Ke Khalwat Kade Mein Koi Tou Tha
Jo Rakh Gaya Hai Diya Taaq Per Udasi Ka
Main Tujh Se Kese Kahon Yar-E-Mehar-Baan Mere
Ke Tu Ilaj Nahi Meri Har Udasi Ka
Bas Ke Dushwar Hai Har Kaam Ka Asaan Hona
Admi Ko Bhi Me-Asar Nahi Insan Hona
Gar Yeh Chahe Hai Kharabi Mere Ka-Shane Ki
Dar-O-Diwar Se Tapke Hai Baya-Baan Hona
Waey Diwangi Shouq Ke Har Dam Mujh Ko
Aap Jana Edhar, Aur Ap He Heraan Hona
Jalwa Az-Bas Ke Taqaza-E-Nagah Karta Hai
Johar-E-Aayna Bhi Chahe Hai Mazga Hona
Eshrat-E-Qatal Geh Aehl-E-Tamanna Mat Poch
Eid Nazara Hai Sham-Sher Ka Uryan Hona
Le Gay Khak Mein Hum Dagh Tamanna-E-Nishat
To Ho, Aur Aap Ba-Sad Rang-E-Gulistan Hona
Eshrat-E-Para-E-Dil Zakhm-E-Tamanna Khana
Lazat-E-Resh-E-Jiga, Gharq-E-Namakdan Hona
Ki Mere Qatal Us Ne Jafa Se Tuba
Hay Us Zod Pashemaa Ka Pashemaa Hona
Hef Es Char Girah Kapde Ki Qismat Ghalib
Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Grebaan Hona