Faiz Ahmad Faiz Poetry Collection


Ab Wahi Harf-E-Junun Sab K Zuban Thahri Hai - Faiz Ahmad Faiz

Ab Wahi Harf-E-Junun Sab K Zuban Thahri Hai
Jo Bhi Chal Nikli Hai Wo Bat Kahan Thahri Hai
Aj Tak Shaikh K Ikram Main Jo Shay Thi Haram
Ab Wahi Dushman-E-Din Rahat-E-Jan Thahri Hai
Hai Khabar Garm K Phirta Hai Gurezan Naseh
Guftagu Aj Sar-E-Ku-E-Butan Thahri Hai
Hai Wahi Ariz-E-Laila Wahi Shirian Ka Dahan
Nigah-E-Shauq Ghari Bhar Ko Yahan Thahri Hai
Wasl K Shab Thi To Kis Darja Subak Guzri Hai
Hijr K Shab Hai To Kya Sakht Garan Guzri Hai
Bikhri Ek Bar To Hath Ai Kab Mauj-E-Shamim
Dil Se Nikli Hai To Kab Lab Pe Fugan Thahri Hai
Dast-E-Sayyad Bhi Ajiz Hai Kaf-E-Gulchin Bhi
Bu-E-Gul Thahri Na Bul-Bul K Zaban Thahri Hai
Ate Ate Yun Hi Dam Bhar Ko Ruk Hogi Bahar
Jate Jate Yun Hi Pal Bhar Ko Khizan Thahri Hai
Ham Ne Jo Tarz-E-Fugan K Hai Qafas Main Ijad
"Faiz" Gulshan Main Wo Tarz-E-Bayan Thahri Hai

 

Bol K Lab Azad Hain Tere - Faiz Ahmad Faiz

Bol K Lab Azad Hain Tere
Bol Zaban Ab Tak Teri Hai
Tera Sutawan Jism Hai Tera
Bol K Jan Ab Tak Teri Hai
Dekh K Ahangar K Dukan Main
Tund Hain Shole Surkh Hai Ahan
Khulne Lage Quflon K Dhane
Phaila Har Ek Zanjir Ka Daman
Bol Ye Thora Waqt Bahot Hai
Jism-O-Zaban K Maut Se Pahle
Bol K Sach Zinda Hai Ab Tak
Bol Jo Kuch Kahna Hai Kah Le

 

Buhat Mila Na Mila Zindagi Se Gam Kya Hai - Faiz Ahmad Faiz

Buhat Mila Na Mila Zindagi Se Gam Kya Hai
Mata-E-Dard Baham Hai To Besh-O-Kam Kya Hai
Ham Ek Umr Se Waqif Hain Ab Na Samjhao
K Lutf Kya Hai Mere Meharban Sitam Kya Hai
Kare Na Jag Main Alaw To Sher Kis Maqsad
Kare Na Shahar Main Jal-Thal To Chashm-E-Nam Kya Hai
Ajal K Hath Koi A Raha Hai Parwana
Na Jane Aj K Fehrist Main Raqam Kya Hai
Sajao Bazm Gazal Gao Jam Taza Karo
Buhat Sahi Gam-E-Geti Sharab Kam Kya Hai
Lihaz Main Koi Kuch Dur Sath Chalta Hai
Wagarna Dahar Main Ab Khizr Ka Bharam Kya Hai

 

Dasht-E-Tanhai Main Ai Jan-E-Jahan Larzn Hain - Faiz Ahmad Faiz

Dasht-E-Tanhai Main Ai Jan-E-Jahan Larzn Hain
Teri Avaz K Saye Tere Honthon K Sarab
Dasht-E-Tanhai Main Duri K Khas-O-Khak Tale
Khil Rahe Hain Tere Pahlu K Saman Aur Gulab
Uth Rahi Hai Kahin Qurbat Se Teri Sans Ki Anch
Apni Khushbu Main Sulagti Hui Madham Madham
Dur Ufaq Par Chamakati Hui Qatra Qatra
Gir Rahi Hai Teri Dildar Nazar Ki Shabnam
Us Qadar Pyar Se Ai Jan-E Jahan Rakha Hai
Dil K Rukhsar Pe Is Vaqt Teri Yad Ne Hath
Yun Guman Hota Hai Garche Hai Abhi Subah-E-Firaq
Dhal Gaya Hijr Ka Din A Bhi Gai Vasl Ki Rat

 

Mera Dard Nagma-E-Besada - Faiz Ahmad Faiz

Mera Dard Nagma-E-Besada
Meri Zat Zara-E-Benishan
Mere Dard Ko Jo Zuban Mile
Mujhe Apna Nam-O-Nishan Mile
Meri Zat Ko Jo Nishan Mile
Mujhe Raz-E-Nazm-E-Jahan Mile
Jo Mujhe Ye Raz-E-Nihan Mile
Meri Khamoshi Ko Bayan Mile
Mujhe Qayanat Ki Sarwari
Mujhe Daulat-E-Do-Jahan Mile

 

Mujhko Shikwa Hai - Faiz Ahmad Faiz

Mujhko Shikwa Hai Mere Bhai K Tum Jate Huye Le Gaye Sath Meri Umr-E-Guzashta Ki Kitab
Is Main To Meri Bahut Qimati Taswiren Thin Is Main Bachpan Tha Mera, Aur Mera Ahad-E-Shabab
Is K Badle Mujhe Tum De Gaye Jate Jate Apne Gam Ka Yah Damakta Hua Khun-Rang Gulab
Kya Karun Bhai, Ye Ezaz Main Kyun Kar Pahnun Mujhse Le Lo Meri Sab Chak Qamizon Ka Hisab
Akhri Bar Hai Lo Man Lo Ik Ye Bhi Sawal Aj Tak Tum Se Main Lauta Nahin Mayus-E-Jawab
Ake Le Jao Tum Apana Yah Damakata Hua Phul Mujhako Lauta Do Meri Umr-E-Guzashata K Ktab

 

Teri Ummid Tera Intazar Jab Se Hai - Faiz Ahmad Faiz

Teri Ummid Tera Intazar Jab Se Hai
Na Shab Ko Din Se Shikayat Na Din Ko Shab Se Hai
Ksi Ka Dard Ho Karte Hain Tere Nam Raqam
Gila Hai Jo Bhi Kisi Se Teri Sabab Se Hai
Hua Hai Jab Se Dil-E-Nasabur Beqabu
Kalam Tujhse Nazar Ko Bari Adab Se Hai
Agar Sharar Hai To Bharak, Jo Phul Hai To Khile
Tarah Tarah K Talab Tere Rang-E-Lab Se Hai
Kahan Gaye Shab-E-Furqat K Jagnewale
Sitara-E-Sahar Ham-Kalam Kab Se Hai

 

Raz-E-Ulfat Chupa K Dekh Liya - Faiz Ahmad Faiz

Raz-E-Ulfat Chupa K Dekh Liya
Dil Buhot Kuch Jala K Dekh Liya
Aur Kya Dekhne Ko Baqi Hai
Ap Se Dil Laga K Dekh Liya
Wo Mere Hok Bhi Mere Na Hue
Unko Apna Bana K Dekh Liya
Aj Unki Nazar Main Kuch Hamne
Sabki Nazren Bacha K Dekh Liya
'Faiz', Taqmil-E-Gam Bhi Ho Na Saki
Ishq Ko Azma K Dekh Liya
As Us Dar Se Tutati Hi Nahin
Ja K Dekha, Na Ja K Dekh Liya

FUn Uploads

Read More About Our Range Of Services

 

SMS Collection
Free Games Online
Poetry Collection
Pakistani Song Lyrics
Mobile Updates
Find New Recipes
Online Jobs Search

Write For Us.

We're Always Looking For New Authors. If You're Interested, You Can Either Send Us Your Blog Or Send Us A Pitch.