Best Collection Of Mohsin Naqvi Poetry.
Bichar K Mujh Se Kabhi Tu Ne Ye Bhi Socha Hai
                        Adhura Chand Bhi Kitna Udas Lagta Hai
                        Ye Wasl Ka Lamha Hai Ise Rayegan Na Samajh
                        K Is K Bad Wahi Duriyon Ka Sahara Hai
                        Kuch Aur Der Na Jharta Udasiyon Ka Shajar
                        Kise Khabar Tere Saye Main Kaun Baitha Hai
                        Ye Rakh-Rakhao Muhabbat Sikha Gai Us Ko
                        Wo Ruth Kar Bhi Mujhe Muskura K Milta Hai
                        Main Kis Tarah Tujhe Dekhun Nazar Jhijhakti Hai
                        Tera Badan Hai K Ye Ainon Ka Dariya Hai
Mar Hi Dal Mujhe Chasm-E-Ada Se Pahle
                        Apni Manzil Ko Pahunch Jaun Qaza Se Pahle
                        Ik Nazar Dekh Lun A Jao Qaza Se Pahle
                        Tum Se Milne Ki Tamanna Hai Khuda Se Pahle
                        Hashr K Roz Main Puchunga Khuda Se Pahle
                        Tu Ne Roka Nahin Kyun Mujhko Khata Se Pahle
                        Ai Meri Maut Thahar Unko Zara Ane De
                        Zahar Ka Jam Na De Mujhko Dawa Se Pahle
                        Hath Pahunche Bhi Na The Zulf Dota Tak "Momin"
                        Hathkari Dal Di Zalim Ne Khata Se Pahle
Thahar Jao K Hairani To Jaye
                        Tumhari Shakl Pahchani To Jaye
                        Shab-E-Gam Tu Hi Mahman Ban K Aja
                        Hamare Ghar Ki Wirani To Jaye
                        Zara Khul Kar Bhi Ro Lene Do Ham Ko
                        K Dil Ki Ag Tak Pani Ho Jaye
                        Bala Se Tor Dalo Ainon Ko
                        Kisi Surat Ye Hairani To Jaye
Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kyon Bujha Gaya Awaragi
                        Is Dasht Main Ik Shahar Tha Wo Kya Hua Awaragi
                        Kal Shab Mujhe Be-Shakl Si Awaz Ne Chaunka Diya
                        Main Ne Kaha Tu Kaun Hai Us Ne Kaha Awaragi
                        Ik Tu Ki Sadiyon Se Mere Hamrah Bhi Hamraz Bhi
                        Ik Main K Tere Nam Se Nashna Awaragi
                        Ye Dard Ki Tanhaiyan Ye Dasht Ka Wiran Safar
                        Ham Log To Ukta Gaye Apni Suna Awaragi
                        Ik Ajnabi Jhonke Ne Jab Pucha Mere Gam Ka Sabab
                        Sahara K Bhigi Ret Par Main Ne Likha Awaragi
                        Le Ab To Dasht-E-Shab Ki Sari Wusaten Sone Lagin
                        Ab Jagna Hoga Hamain Kab Tak Bata Awaragi
                        Kal Rat Tanha Chand Ko Dekha Tha Main Ne Khwab Main
                        'Mohsin' Mujhe Ras Ayegi Shayad Sada Awaragi
Zikr-E-Shab-E-Firaq Se Wahashat Use Bhi Thi
                        Meri Tarah Kisi Se Muhabbat Use Bhi Thi
                        Mujh Ko Bhi Shauq Tha Naye Chehron Ki Did Ka
                        Rasta Badal K Chalne Ki Adat Use Bhi Thi
                        Us Rat Der Tak Wo Raha Mahw-E-Guftagu
                        Masruf Main Bhi Kam Tha Faragat Use Bhi Thi
                        Sunata Tha Wo Bhi Sab Se Purani Kahaniyan
                        Taza Rafaqaton Ki Zarurat Use Bhi Thi
                        Mujh Se Bichar K Shahar Main Ghul Mil Gaya Wo Shakhs
                        Halanke Shahar Bhar Se Raqabat Use Bhi Thi
                        Wo Mujh Se Barh K Zabt Ka Adi Tha Ji Gaya
                      Warna Har Ek Sans Qayamat Use Bhi Thi