Best Collection Of Javad Akhtar Poetry.
Ye Bataa De Mujhe Zindagii
Pyaar Kii Raah Ke Hamasafar
Kis Tarah Ban Gaye Ajanabii
Ye Bataa De Mujhe Zindagii
Phuul Kyuu.N Saare Murjhaa Gaye
Kis Liye Bujh Ga_Ii Chaa.Ndanii
Ye Bataa De Mujhe Zindagii
Kal Jo Baaho.N Me.N Thii
Aur Nigaaho.N Me.N Thii
Ab Vo Garmii Kahaa.N Kho Ga_Ii
Na Vo A.Ndaaz Hai
Na Vo Aavaaz Hai
Ab Vo Narmii Kahaa.N Kho Ga_Ii
Ye Bataa De Mujhe Zindagii
Bevafaa Ham Nahii.N
Phir Vo Jazbaat Kyo.N So Gaye
Pyaar Tum Ko Bhii Hai
Pyaar Ham Ko Bhii Hai
Faasale Phir Ye Kyaa Ho Gaye
Ye Bataa De Mujhe Zindagii
Ye Tasallii Hai Ki Hai.N Naashaad Sab
Mai.N Akelaa Hii Nahii.N Barabaad Sab
Sab Kii Khatir Hai Yahaa.N Sab Ajanabii
Aur Kahane Ko Hai.N Ghar Aabaad Sab
Bhuul Ke Sab Ra.Njishe.N Sab Ek Hai.N
Mai.N Bataauu.N Sab Ko Hogaa Yaad Sab
Sab Ko Daavaa-E-Vafaa Sab Ko Yaqii.N
Is Adakaarii Me.N Hai.N Ustaad Sab
Shahar Ke Haakim Kaa Ye Faramaan Hai
Qaid Me.N Kahalaaye.Nge Aazaad Sab
Chaar Lafzo.N Me.N Kaho Jo Bhii Kaho
Us Ko Kab Furasat Sune Fariyaad Sab
Talkhiyaa.N Kaise Na Ho Ashaar Me.N
Ham Pe Jo Guzarii Hai Ham Ko Yaad Sab
Ye Teraa Ghar Ye Meraa Ghar Kisii Ko Dekhanaa Ho Agar
To Pahale Aake Maa.Ng Merii Nazar Terii Nazar
Ye Ghar Bahut Hasiin Hai
Na Baadalo.N Kii Chaa.Nv Me.N Na Chaa.Ndanii Ke Gaa.Nv Me.N
Na Phuul Jaise Raaste Bane Hai.Nis Ke Vaaste
Magar Ye Ghar Ajiib Hai Zamiin Ke Qariibhai
Ye Ii.Nt Pattharo.N Kaa Ghar Hamaarii Hasarato.N Kaa Ghar
Jo Chaa.Ndanii Nahii.N To Kyaa Ye Roshanii Hai Pyaar Kii
Dilo.N Ke Phuul Khil Gaye To Fikr Kyaa Bahaar Kii
Hamaare Ghar Naa Aayegii Kabhii Khushii Udhaar Kii
Hamaarii Raahato.N Kaa Ghar Hamaarii Chaahato.N Kaa Ghar
Yahaa.N Mahak Vafaao.N Kii Hai Qah-Qaho.N Ka Arang Hai
Ye Ghar Tumhaaraa Khvaab Hai Ye Ghar Merii Uma.Ng Hai
Na Aarazuu Pe Qaid Hai Na Hausale Par Ja.Ng Hai
Hamaare Hausale Kaa Ghar Hamaarii Himmato.N Kaa Ghar
Dard Apanata Hai Parae Kon
Kon Sunata Hai Aur Sunae Kon
Kon Doharae Wo Purani Bat
Gham Abhi Soya Hai Jagae Kon
Wo Jo Apne Hain Kya Wo Apne Hain
Kon Dukh Jhele Aazamae Kon
Ab Sukun Hai To Bhulane Mein Hai
Lekin Us Shakhs Ko Bhulae Kon
Aj Phir Dil Hai Kuch Udas Udas
Dekhiye Aj Yaad Aae Kon
Dard Ki Phul Bhi Khilate Hain Bikhar Jate Hain
Zakhm Kaise Bhi Hon Kuch Roz Mein Bhar Jate Hain
Us Dariche Mein Bhi Ab Koi Nahi Aur Hum Bhi
Sar Jhukae Hue Chup-Chap Guzar Jate Hain
Rasta Roke Khadi Hai Yahi Ulajhan Kab Se
Koi Puche To Kahen Kya Ki Kidhar Jate Hain
Narm Aavaz Bhali Baten Mohazzab Lahaje
Pahali Barish Mein Hi Ye Rang Utar Jate Hain
Husn-E-Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Tu Bhi Dekhey Agar To Kahey Humnasheen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Aisa Dekha Nahi Khoobsoorat Koi
Jism Jaisay Ajanta Ki Moorat Koi
Jism Jaisey Nigahoon Pay Jadoo Koi
Jism Naghma Koi, Jism Khushboo Koi
Jism Jaisey Machaltee Hoi Ragnee
Jism Jaisey Mehekhtee Joi Chandnee
Jism Jaisey Ke Khilta Hoa Ek Chaman
Jism Jaisey Ke Sooraj Ki Pehli Kiran
Jism Tarsha Hoa Dil_Kush-O-Dil_Nasheen
Sandalee Sandalee, Marmareen Marmareen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn-E-Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Chehra Ek Phool Ki Tarah Shadab Hai
Chehra Oska Hai Ya Koi Mehtaab Hai
Chehra Jaisey Ghazal, Chehra Jaan-E-Ghazal
Chehra Jaisey Kali, Chehra Jaisey Kanval
Chehra Jaisey Tasavvur Bhi Tasveer Bhi
Chehra Ek Khuvaab Bhi, Chehra Tabeer Bhi
Chehra Koi Alif Lailvi Dastaan
Chehra Ek Pal Yaqeen, Chehra Ek Pal Gumaan
Chehra Jaisa Ke Chehra Kaheen Bhi Nahi
Mahroo Mahroo, Mehjabeen Mehjabeen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn-E-Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Aankhain Daikheen Main To Daikhta Reh Gaya
Jaam Do Aur Dono He Doo_Aatisha
Aankhain Ya Maikadey Ke Doo Baab Hain
Aankhain Inko Kahoon Ya Kahoon Khuvaab Hain
Aankhain Neechi Hoi To Haya Bun Gain
Aankhain Onchi Howi To Dua Bun Gain
Aankhain Uth Kar Jhukeen To Ada Bun Gain
Aankhain Jhuk Kar Utheen To Qaza Bun Gain
Aankhain Jin Main Qaid Aasmaan-O-Zameennargasee Nargasee, Sarmageen Surmageen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn-E-Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Zulf-E-Jaanaan Ki Bhi Lambi Hai Dastaan
Zulf Ki Mere Dil Par Hain Parchayaan
Zulf Jaisey Ke Umdee Hoi Ho Ghata
Zulf Jaisay Ke Ho Koi Kaali Bala
Zulf Uljhey To Dunya Pareeshan Ho
Zulf Suljhay To Yeh Zeest Aasaan Ho
Zulf Bikhray Siyah Raat Chaaney Lagay
Zulf Lehraey To Raat Jaaney Lagay
Zulf Lehraye To Raat Janay Lagay
Zulf Zanjeer Hai Phir Bhi Kitni Haseenreshmi Reshmi, Ambareen Ambareen
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Husn-E-Jana Ki Tareef Mumkin Nahi
Aafreen Aafreen, Aafreen Aafreen
Pyar Mujhase Jo Kiya Tumane To Kya Paogi
Mere Halat Ke Aandhi Mein Bikhar Jaogi
Ranj Aur Dard Ke Basti Ka Main Bashinda Hun
Ye To Bas Main Hun Ke Is Hal Mein Bhi Zinda Hun
Khwab Q Dekhun Wo Kal Jisape Main Sharminda Hun
Main Jo Sharminda Hua Tum Bhi To Sharamaogi
Q Mere Sath Koi Aur Pareshan Rahe
Meri Duniya Hai Jo Viran To Viran Rahe
Zindagi Ka Ye Safar Tumako To Aasan Rahe
Hamasafar Mujhko Banaogi To Pachataogi
Ek Main Kya Abhi Aayenge Divane Kitne
Abhi Gunjege Muhabbat Ke Tarane Kitne
Zindagi Tumako Sunayegi Fasane Kitne
Q Samajhati Ho Mujhe Bhool Nahi Paogi
Ik Baat Honthon Tak Hai Jo Aayi Nahin
Bas Ankhon Se Hai Jhaankti
Tumse Kabhi, Mujhse Kabhi
Kuch Lafz Hain Woh Maangti
Jinko Pahen Ke Honthon Tak Aa Jaaye Woh
Awaaz Ki Baahon Mein Baahein Daalke Ithlaaye Woh
Lekin Jo Yeh Ik Baat Hai
Ehsaas Hi Ehsaas Hai
Khushboo Si Hai Jaise Hawa Mein Tairti
Khushboo Jo Be Awaaz Hai
Jiska Pata Tumko Bhi Hai
Jiski Khabar Mujhko Bhi Hai
Duniya Se Bhi Chhupta Nahin
Yeh Jaane Kaisa Raaz Hai
Aap Bhi Aaye, Hum Ko Bhi Bulate Rahiye,
Dosti Jurm Nahi, Dost Banate Rahye,
Jahar Pe Jaye Aur Batye Amrit Sabko,
Jakam Bhi Khaye Aur Geet Bhi Gate Rahiye,
Wakt Ne Lut Le Logo Ki Tamannae Bhi,
Khawab Jo Dekhye Auro Ko Dikhate Rahye,
Shakal To Aapke Bhi Jahan Mein Hogi Koi,
Kabhi Jayegi Tasvir, Banate Rahye
Jab-Jab Dard Ka Baadal Chaya
Jab Gham Ka Saya Lehraya
Jab Aansoo Palkon Tak Aya
Jab Yeh Tanha Dil Ghabraya
Humne Dil Ko Yeh Samjhaya
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai
Duniya Mein Yunhi Hota Hai
Yeh Jo Gehre Sannaate Hain
Waqt Ne Sabko Hi Baante Hain
Thoda Gham Hai Sabka Kissa
Thodi Dhoop Hai Sabka Hissa
Aankh Teri Bekaar Hi Nam Hai
Har Pal Ek Naya Mausam Hai
Kyun Tu Aise Pal Khota Hai
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai
Yahi Halat Ibtada Se Rahe
Log Hum Se Khafa Khafa Se Rahe
Bevafa Tum Kabhi Na The Lekin
Ye Bhi Sach Hai Ki Bevafa Se Rahe
In Chiragon Mein Tel Hi Kam Tha
Kyon Gila Phir Hamen Hawa Se Rahe
Bahas, Shatranj Sher Mausiqi
Tum Nahi Rahe To Ye Dilase Rahe
Usake Bandon Ko Dekhakar Kahiye
Hamako Umeed Kya Khuda Se Rahe
Zindagi Ke Sharab Mangate Ho
Hum Ko Dekho Ki Pi Ke Pyase Rahe
Main Ne Dil Se Kaha
Ae Divane Bata
Jab Se Koi Mila
Tu Hai Khoya Hua
Ye Kahani Hai Kya
Hai Ye Kya Silasila
Ae Divane Bata
Main Ne Dil Se Kaha
Ae Divane Bata
Dhadakanon Mein Chupi
Kaisi Aavaz Hai
Kaisa Ye Geet Hai
Kaisa Ye Saz Hai
Kaisi Ye Baat Hai
Kaisa Ye Raz Hai
Ae Divane Bata
Mere Dil Ne Kaha
Jab Se Koi Mila
Chand Tare Fiza
Phul Bhaunre Hawa
Ye Hasin Vadiyan
Nila Ye Aasaman
Sab Hai Jaise Naya
Mere Dil Ne Kaha
Dard Apanata Hai Parae Kon
Kon Sunata Hai Aur Sunae Kon
Kon Doharae Wo Purani Bat
Gham Abhi Soya Hai Jagae Kon
Wo Jo Apne Hain Kya Wo Apne Hain
Kon Dukh Jhele Aazamae Kon
Ab Sukun Hai To Bhulane Mein Hai
Lekin Us Shakhs Ko Bhulae Kon
Aj Phir Dil Hai Kuch Udas Udas
Dekhiye Aj Yaad Aae Kon