Kash Main Tere Hasin Hath Ka Kangan Hota
Tu Bare Pyar Se Bare Chao Se Bare Arman K Sath
Apni Nazuk Si Kalai Mein Charhati Mujh Ko
Aur Betabi Se Furqat K Khizan Lamhon Mein
Tu Kisi Soch Mein Dubi Jo Ghumati Mujh Ko
Main Tere Hath Ki Khushbu Se Mahak Sa Jata
Jab Kabhi Mud Mein A Kar Mujhe Chuma Karti
Tere Honthon Ki Shiddat Se Main Dahak Sa Jata
Rat Ko Jab Bhi Tu Nindon K Safar Par Jati
Marmari Hath Ka Ik Takya Banaya Karti
Main Tere Kan Se Lag Kar Kai Baten Karta
Teri Zulfon Ko Tere Gal Ko Chuma Karta
Jab Bhi Tu Band Qaba Kholne Lagti Janan
Apni Ankhon Ko Tere Husn Se Khera Karta
Mujh Ko Betab Sa Rakhta Teri Chahat Ka Nasha
Main Teri Ruh K Gulshan Mein Mahakta Rahta
Main Tere Jism K Angan Mein Khanakta Rahta
Kuch Nahin To Yahi Benam Sa Bandhan Hota
Kash Main Tere Hasin Hath Ka Kangan Hota
Tum Meri Ankh K Tewar Na Bhula Paoge
Ankahi Bat Ko Samjhoge To Yad Aunga
Ham Ne Khushyon Ki Tarah Dukh Bhi Ikathe Dekhe
Safah-E-Zist Ko Paltoge To Yad Aunga
Isi Andaz Mein Hote The Mukhatib Mujh Se
Khat Kisi Aur Ko Likhoge To Yad Aunga
Sard Raton K Mahkate Hue Sannaton Mein
Jab Kisi Phul Ko Chumoge To Yad Aunga
Ab Tere Ashk Main Honthon Se Chura Leta Hun
Hath Se Khud Inhen Ponchoge To Yad Aunga
Shal Pahnayega Ab Kaun Decembar Mein Tumhen
Barishon Mein Kabhi Bhigo Ge To Yad Aunga
Aj Tum Mahfil-E-Yaran Pe Ho Magrur Bahut
Jab Kabhi Tut K Bikhroge To Yad Aunga
Hadse Ayenge Jiwan Mein To Tum Ho K Nidhal
Kisi Diwar Ko Thamoge To Yad Aunga
Is Mein Shamil Hai Meri Bakht Ki Tariki Bhi
Tum Siyah Rang Jo Pahnoge To Yad Aunga
Dayar-E-Gair Mein Kaise Tujhe Sada Dete
Tu Mil Bhi Jata To Tujhe Ganwa Dete
Tumhin Ne Ham Ko Sunaya Na Apna Dukh Warna
Dua Wo Karte K Ham Asman Hila Dete
Hamein Ye Zom Raha Ab K Wo Pukarenge
Unhen Ye Zid Thi K Har Bar Ham Sada Dete
Wo Tera Gam Tha K Tasir Mere Lahje Ki
K Jis Ko Hal Sunate Use Rula Dete
Tumhen Bhulna Hi Awwal To Dastaras Mein Nahin
Jo Ikhtiyar Bhi Hota To Kya Bhula Dete
Tumhari Yad Ne Koi Jawab Hi Na Diya
Mere Khayal K Ansu Rahe Sada Dete
Samton Ko Main Ta-Umr Kosta Syed
Wo Kuch Na Kahte Magar Honth To Hila Dete
Apni Dharkano Se Kuch Aisay Mera Naam Lo
Ye Waqt Ruk Jaye Is Lamhay Ko Thaam Lo
Teri Aankhon Mein Jhalak Hai Asi Merey Pyar Ki
Saahil Pe Jesey Dhalti Haseen Shaam Ho
Lafzon Se Hota Nahi Izhaar Humse Pyar Ka
Bas Meri Aankhon Mein Dekh Kar Khud Ko Pehchaan Lo
Jesey Tarasta Hein Sehra Shabnam K Choonay Ko Wasi
Kabhi Wese Rab Se Tum Bhi Mujhey Maang Lo.
Kaash Woh Aa Jaye Mujhey Jaan Se Guzaratey Dekhay,
Us Ki Khuahish Thi Kabhi Mugh Ko Bikhertey Dekhay,
Woh Saleeky Se Huwa Hum Se Gurezaan Warna,
Log Tu Saaf Muhabbat Mein Mukartey Dekhay,
Waqt Hota Hai Har Dard Ka Marham Wasi
Per Kuch Zakham Thay Aisay Jo Na Bikhertey Dekhay..
Pehlay Tujhe Banaya Bana Kar Mita Diya
Jitne Bhi Faisaly Kiye Sary Ghalat Kiye
Hum Say Wo Jhot Bool Kr Sharma Rahey Hain Kyoun
Wasi, Thori Bhoat Jhot Ki Aadat Sabi Ko Hai
Har Ik Shab Meri Taza Azaab Main Guzri
Tumhare Bad Tumhare Hi Khuwab Main Guzri
Mai Ik Phol Hoon Wo Mujh Ko Rakh Ke Bhool Gaya
Tmaam Umar Usi Ki Kitab Main Guzri
Mujhay Apne Kirdaar Pe Itna Tou Yaqeen Hai, Wasi.
Koi Mujhay Chor Tou Sakta Hai Magr Bhula Nahi Sakta.
Hum Se Zindagi Ki Haqeeqat Na Puch,
Bohat Pur Khalos
Log Thy Jo Tanha Kar Gaye!
Udasiyon Se Wabasta Hai Yeh Zindagi Meri WASI,
Khuda Gawaah Hai K Phir Bhe Tujhe Yaad Karte Hain.
Sambhal Sakty Nahi Hum Ye Gham Ki Jageerain,
Wasi Utar Lejiye Sar Se Yeh Taaj Kanton Ka
Dil Main Afsoos Aankhon Main “Nami” Si Rahti Hai,
Zindagi Main Shayad Koi “Kami” Si Rahti Hai,
Mujh Say Rooth Jatay Hain Aksar Meray Dost “Wasi”,
Shayad Meray Khaloos Main Koi “Kami” Si Rahti Hai.
Meri Khamushiyon Ka Raz Mujhey Khud Nhi Malum
Wassi
Najane Kiyon Log Muje Maghroor Samajhte Hain.
Ab Teri Aankho Mei? Ansoo Kis Liye Hain Wasi,
Jab Chor Hi Diya Tha To Bhula Bhe Diya Hota.
Chor Wasi Ab Us Ki Batain Tujhko Pagl Kr Dain Gi,
Tu Qtra Hy Wo Drya Hy Dekh Apni Auqat Wasi Shah