(Chorus)
Shaam hoee ghar aa panchi
Shaam hoee ghar aa panchi.
Teree yaad hai aik pyaas hai
Tu nahi to sab khawab hai.
(1st Verse)
Teray ashiyanay mai koee nahi
Teray ashiyanay mai koee nahi.
Roshnee tu hai joostujoo nahi
Manzil nahi bus khak hai.
(2nd Verse)
Tera khayal hee maazi haal hai
Mera woojood hee sab din raat hai
Muntazir hoon umeed hai
Majboor hoon kyun duur hai.
Teri aankhein teray dil ki sari batein kahein
Aaj mehkein saray pal hi kai sapnay bunein.
Rastay khatan yay choti choti khushiyan yahan
Chunn lein aaj jo bhi milein.
(Pre-chorus)
Is zameen ki yehi dastaan hay
Jism aur jaan aik din to hona hay
Na rahay.
(Chorus)
Kitni sadiyan na janay khamoshi say yunhi guzarti gayeen
Waqt kay behtay darya mein jab tak saansein rahen tu hay meri.
(2nd Verse)
Aik hay rung jo yay sansaar sara roshan karay
Koi ho sung, koi ho pyar pyara jeevan lagay.
Raste khatan yay choti choti khushiyan yahan
Chunn lein aaj jo bhi milain.
(1st verse)
Laita han janam ehsaas yay aur barhtay jatay hein faaslay
Hota hay ghalat har doosra apnay hein yay faislay.
(Pre-chorus)
Jo bhi kiya apnay liyay
Jo bhi kiya apnay liyay
Aakhir kyun?
(Chorus)
Behisi, yay jalan, sungdili
Aaikhir kyun?
Mot ko yaad kar hay such yehi.
(2nd Verse)
Aaj kho gai duniya kay kitnay rangon mein saadgi
Kum hoti ja rhi hay aadmi ki ehmiyat, ehmiyat kuch nehin
(1st Verse)
Dilon mein bhar gaeen
Ghamon mein doobee dharrkanain
Barrhtee hi ja rahee.
Har dum kyun mushkilein
Har dum kyun mushkilein.
(Pre-chorus)
Dunya kee ankhon say ansoo jo hosakay ponch dein
Zindagee ka girtaa anchal ho sakay tu thaam lein.
(Chorus)
Insaan kay khawab kee tabeer tu insaan hi hai
Tadbeer kya taqdeer kya har rahguzar injan hi hai.
(2nd Verse)
Kahay ander koee hum akhir kyun na kuch karein
Kahay ander koee hum kyun na kuch karein
Hum kyun na kuch kahein.
(1st Verse)
Kesi hay yay pyas bujhti hi nehin hay
Kyun lage zindagi aagay barhti nehin hay.
(Pre-chorus)
Dharkanein har lamha hi baytaab hein
Aankhon mein na’mukammal kuch khwab hein
(Chorus)
Koi duur muntazir, kyun aisa lagta hay?
Koi chehra jesay meri raah takta hay.
(2nd Verse)
Aik subah jo kabhi aati nehin hay
Aik raat jo kabhi dhalti nehin hay
1st Verse)
Aaj bhi zulm-o-sitam kay rung wesay hi
Mazi ki aahon say seekha kuch bhi nehin.
Aaj bhi insaniyat mismaar har jaga
Haathon mein doltay hathiyar har jaga.
(Pre-chorus)
Nazrein chura kay guzarne ka
Nehin mujh mein yay hosla.
(Chorus)
Mein janay kyun hoon bolta
Hay insaaf mein takheer to is say hay mera kia wasta.
Mein janay kyun hoon sochta
Jo zawal ki janib rawan ghaflat mein haymashra
Janay mein.
(2nd Verse)
Aaj bhi kuch naujawan aisay hi zaya gaye
Sitaron pay dalein kamand wo naujawan kahan gayay.
Aaj bhi laashain pareen ghar ghar aur har gali
Bhairriyon ka ambaar he ya he koi aadmi.
Page Tags: Faraz Anwer, Faraz Anwer Songs, Faraz Anwer Songs Lyrics, Faraz Anwer New Song Lyrics, Faraz Anwer Songs Lyrics Collection, List Of Faraz Anwer Songs, Lyrics Of Faraz Anwer, Pakistani Faraz Anwer Songs Lyrics, Faraz Anwer New Lyrics, Faraz Anwer 2020 New Songs, Faraz Anwer New Albums Lyrics, Faraz Anwer Live Songs, Faraz Anwer Concert Songs, Faraz Anwer Mp3 Songs Download