Sad poetry is one of the most popular genres in Urdu literature. It can be about anything that has made the poet sad, but it is usually written in a serious tone with a lot of feeling.Whether you're feeling down or just want to read some beautiful poetry, these are some of the best examples of sad poetry in Urdu.
Tere Deed Ke Beghair Kesi Eid
Ham Nahi Mana Sakte Aesy Eid
Le Chala Jaan Meri Roth Ke Jana Tera
Aesy Aany Se Tu Behtar Than A Aana Tera
Hum Bhi Kya Farmaish Krte Hain
Tujh Se Mulaqat Ki Khuahish Krte Hain
Khud Tu Aya Nahi Aur Eid Chali Ayi Hai
Eid Ke Roz Mujhe Yun Na Sataye Koi
Na Pocho Mujh Se Lazat-E Khanman Barbad Rahny Ki
Nasheman Sainkron Main Ne Bana Kr Phonk Dalay Hain
Raste Mai Mil Gaya To Sharik-E-Safar Na Jaan
Jo Chaon Meharban Ho Use Apna Ghar Na Jaan
Nahi Nahi Ye Khabar Dushmanon Ne Di Hogi
Wo Aaye Aa Ke Chale Bhi Gaye Mile Bhi Nahi
Jis Tarah Khawab Mere Ho Gaye Reza Reza
Us Tarah Se Na Kabhi Tut Ke Bikhare Koi
Mai Phool Chunti Rahi Aur Muje Khabar Na Hui
Wo Shaks Aa Ke Mere Sheher Se Chala Bhi Gaya
Kuch To Tere Mausam Hi Mujhe Raas Kam Aaye
Aur Kuch Meri Mitti Mai Bagawat Bhi Bohat Thi
Kamal-E-Zabt Ko Khud Bhi To Azmaungi
Mai Apne Hathon Se Us Ki Dulhan Sajaun Gi
Dushmanon Ke Sath Mere Dost Bhi Azad Hain
Dekhna Hai Khinchta Hai Mujh Per Phely Teer Kon
Kaise Kah Doon K Mujhe Chor Diya Hai Us Ne
Baat To Sach Hai Magar Baat Hai Ruswai Ki
Itne Ghane Badal Ke Piche
Kitna Tanha Hoga Chnad
Main Sach Kahungi Magar Phir Bhi Haar Jaungi
Wo Jhoot Bolega Aur La-Jawab Kar Dega
Din Ke Dahlty Hi Ujar Jaati Hai Aankhein Aesy
Jis Tarah Sham Ko Bazar Kisi Gaon Main
Mein Ne Kal Shab Chahatoon Ki Sab Kitaaben Phaar Den
Sirf Ik Kaghaz Pay Likha Lafz Maa Rehne Diya
Chalti Phirti Hui Aankhon Se Azan Dekhi Hai
Mein Ne Jannat Tu Nahi Dekhi Hai Maa Dekhi Hai
Barbaad Bastiyoun Main Kisay Dhoondtay Ho Tum ?
Ujray Howay Logon Kay Thikanay Nahin Hotay!
Mohabbat hoti to sanbhal layta kisi tareeqay
Ishq tha wo mera is liyay wjood kha giya mera
Mujhay kaha giya tha mehnat kerna
Afsoos! main ne nukta gira ker mohabbat kerli
Palat K Aagai Kheme Ki Samt Pyas Meri
Phate Hue The Sabhi Badalon K Mashkize
Aaj Youn Mausam Ne De Jashn-E-Mohabbat Ki Khabar
Phot Kar Rone Lage Hain, Mai Mohabbat Aur Tum
Phele Tujhe Banaya Bana Kar Mita Diya
Jitne Bhi Faisle Kiye Saare Ghalat Kiye
Har Ek Mausam Mai Roshni Si Bikherte Hain
Tumhare Gham K Chirag Meri Udasiyon Mai
Ibn-E-Adaam Kat Raha Hai Bint-E-Hawalat Rahi Hai
Aye Khuda Dekh To Sahi Teri Jannat Jaal Rahi Hai
Mir’ Amdan Bhi Koi Marta Hai
Jaan Hai To Jahan Hai Piyare
Mere Rone Ki Haqeeqat Jis Mai Thi
Ek Muddat Tak Wo Kaghaz Nam Raha
Kisu Se Dil Nahi Milta Hai Ya Rab
Hua Tha Kis Ghari Un Se Juda Mai
Ker raha hai gham jahan ka hisab,
Aaj tum yad be hisab aay.
Hum Thay, Tum Thay, Kuch Jazbaat Bhi Toh Thay
Arey Choro! Kuch Nahi, Alfaaz Hee Toh Thay
Har Roti Aankh Udaas Nhi Hoti
Zindagi Har Jeene Wale K Pas Nhi Hoti
Kabhi khud pe kabhi halat pe rona aaya,
Bat nikli tu her ek bat pe rona aaya.
Jahan Mazloom Hain To Kai Jabar Hain
Shehr-E Khamoshan Main Sab Brabar Hain
Daaym Paara Hua Tere Dar Par Nahi Hun Mai
Khaak Aisi Zindagi Pe K Pathar Nahi Hun Mai
Ne Tiir Kaman Main Hai Na Sayyad Kaman Mai
Goshe Mai Qafas Ke Mujhe Aram Bahut Hai
Main Bhi Munh Mai Zuban Rakhta Hun
Kaash Puchho K Muddaa Kya Hai
Kalkatta Ka Jo Zikr Kiya Tu Ne Ham-Nashin
Ik Teer Mere Seene Mai Maara K Haaye Haaye
Jaate Hoye Kahte Ho Qayamat Ko Milenge
Kya Khuub Qayamat Ka Hai Goya Koi Din Aur
Fard-O-Di Ka Tafarqa Yak Baar Mit Gaya
Kal Tum Gaye K Hum Per Qayamat Guzar Gai
Wese Hee Tumhe Veham Hai, Aflak Nashee’n Hain,
Tum Log Barey Log Ho, Hum Khak Nashee’n Hain
Ham tu koch dair hans bhi lety hain,
Dil hamaisha udas rehta hai.
Aik Hee Milne Wala Tha,
Aesa Bichra Ke Phir Mila Hee Nahi
Ab Tere Zikr Pe Hum Baat Badal Dete Hain,
Kitni Ragbat Thi Tere Naam Se Pehle Pehle
Saare Khilone Chor Kar,
Jazbaat Se Khelte Hain Log
Aik Zamany Baad Faraz Ye Shair Kahy Main Ne
Ik Mudat Se Milay Nahi Hain Yaar Mera Aur Main
Ik Saal Gya Ik Saal Naya Hai Aane Ko
Par Waqt Ka Ab Bhi Hosh Nahi Dewane Ko
Ye shukar ha kh mery pas tera gham tu raha,
Wagarna zindagi bher ko rula dia hota.
Tum Mere Liye Itne Pareshan Se Kyun Ho
Mein Dob Bhi Jata Tu Kahin Aur Ubarhta
Mera Karnama-E-Zindagi Meri Hasraton Ke Siwa Kuch Nahi,
Yeh Kia Nahi, Wo Hua Nahi, Yeh Mila Nahi, Woh Raha Nahi
Mujhse Milne Ko Aap Aaye Hain,
Bethiye Main Bula Kar Laata Hun
Maine Sab Khwahishon Ko Taal Diya,
Apne Dil Se Tumhe Nikal Diya
Jaane Kahan Base Gi Tu,
Jaane Kahan Rahunga Main
Iss Zindagi Mein Itni Faraagat Kissey Naseeb,
Itna Na Yaad Aa Ke Tujhe Bhool Jayein Hum
Ab Khuda Jaane Kahan, Unke Thikane Hain
Jo Mere Saath, Kabhi Eid Kia Karte Thay
Yeh Eid Bhi Guzari Hamari Hasb E Sabiq,
Kapre Naye Thay Aur Gham Wohi Purane
Ruksat E Yaar Hone Ke Baad,
Kitne Gham Khabar Lene Aa Ponche
Dekh Kar Tujhe Dukh Mein Yun Ehsas Hota Hai,
Jaise Aaine Mein Khara Mera Aks Udas Hota Hai
Aik Safar Tha Jo Guzar Gaya,
Koi Nasha Tha Jo Utar Gaya
Teri Yaad Ki Barf Bari Ka Mosam
Sulagta Rha Dil K Andar Akele
Irada Tha Ji Lo Ga Tuj Se Bichar Kar
Guzrta Nahi Aik December Akele
Jaate Hoye Kehte Ho Qayamat Ko Milen Gey
Kya Khob Qayamt Ka Hai Goya Koi Din Aur
Dunya Ne Tajurbaat O Hwadis Ki Shakal Mein
Jo Kuch Muje Diya Hai Wo Luta Raha Hun Mein
Kis Ko Khabar Thi, Kis Ko Yaqeen Tha Ke Aesy Bhi Din Ayen Gey
Jeena Bhi Mushkil Ho Ga Aur Marnay Bhi Na Payen Gey
Kitni Qatil Hai Ye Aarzoo Zindagi Ki
Mer Jate Ha Kisi Pr Log Jene Ke Liye
Tamashbeni Ke Kothay Main Rooh Dafna Ke Aya Hon
Main Bari Mushkil Se Apni Laash Utha Ke Laya Hon
Dil Tujh Pe Fida Hua,
Kambakht Shauq Se Tabah Hua
Yeh Zaat Tamasha Ban Chuki Hai,
Duniya Ke Mele Se Thak Chuki Hai
Mausam E Khizan Ke Patton Ki Tarah Jhar Gaya,
Mera Wajood Tere Tan Se Juda Ho Ke Bikher Gaya
Maana Ke Har Koi Udas Hai Yahan,
Per Kisi Kisi Ka Gham Khas Hai Yahan
Sabr Toh Yeh Hai Har Zakham Hans Kar Saho,
Kehne Ko Bahut Kuch Ho Phir Bhi Chup Raho
Lambi Baatein, Wazahatein Nahi Ab Mukhtasir Si Karta Hun,
Kitaab E Zindagi Duniya Ke Aagey Ab Kholne Se Darta Hun
Behissi Shart Hai Jeene Ke Liye,
Aur Hum Ko Ehsas Ki Bimari Hai
Shoq E Wafa Na Sahee,
Khauf E Khuda Toh Rakh
Kaun De Ga Sukoon Aankhon Ko,
Kisko Dekhun Ke Neend Aa Jaye
Ab Aur Kya Kisi Se Marasam Barhyen Ham
Ye Bhi Bohat Hai Tuj Ko Agar Bhol Jayen Ham
Mohabat Ke Gharon Ke Kache Pan Ko Ye Kahan Samjhen
In Aankhon Ko Tu Bas Aata Hai Barsaten Bari Karna
Sabi Kuch Ho Chuka Un Ka Hamara Kya Raha Hasrat
Na Dein Apna, Na Dil Apna, Na Jan Apni, Na Tan Apna
Jab Milo Kisi Se Tu Zara Door Ki Yaari Rakhna
Jaan Lewa Hote Hain Aksar Sene Se Lagane Wale
Wo Marz Ishq Hi Kya Abbas Jis Mein Jaldi Shafa Mile
Kon Mange Ga Khushion Ki Dua Jis Ko Dard Mein Khuda Mile
Khatar Se Ya Lihaz Se Mein Maan Tu Gya
Jhoti Qasam Se Aap Ka Emaan Tu Gya
Patton Ki Tarah Mujh Ko Bikherta Tha Zamana,
Ek Shaks Ne Yakja Kia Aur Aag Laga Dee
Hum Phansa Ke Yahan Faaslon Ke Chakaron Mein,
Zameen Zarur Kahin Aasman Se Milti Hai
Kaash Koi Toh Aesa Ho,
Jo Ander Se Bahar Jaisa Ho
Phir Kisi Se Woh Baatein Woh Mulaqatein Ab Nahi Hongi,
Raatein Toh Hongi Per Woh Raatein Ab Nahi Hongi
Ander Aesa Habas Tha Maine Khol Diya Darwaza,
Jisne Dil Se Jaana Hai Woh Khamoshi Se Jaye
Pehle Sab Khawab Kaghaz Per Likh Kar Sajaye Maine,
Phir Jala Kar Kaghaz Dariya Mein Bahana Acha Laga
Logon Se Milta Tha Gham, Main Seh Na Saka,
Akela Rehna Chahta Tha Magar, Reh Bhi Na Saka
Main Larki Ho Ke Bhi Qaim Hun Apni Baaton Per,
Magar Haya Nahi Aayi Tujhe Mukarte Huye
Khud Hee Ko Tabah Karke Roya Hun Main,
Har Roz Gunah Karke Soya Hun Main
Tu Saamne Hai Tu Phir Kyn Yaqeen Nahi Aata
Ye Bar Bar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain
Hamary Armaano Se Sajao, Shah-E Wqat Aur Mehal Banao
Apna To Foot Path Thikana, Dekh Ke Hmain Mat Sharmao
Chalay Thy Jinhain Dekh Kr Kehny Laga Bacha
Baba Mere Hathon Main Sitary To Nahi Hain
Aa Gayi Yaad Sham Dhalty He
Bujh Gaya Dil Chiragh Jalaty He
Isi Khandar Mein Kahin Kuch Diye Hain Tote Hoye
Inhein Se Kam Chalao Bari Udas Hai Raat
Log Akar Kar Aese Jeete Hain,
Jaise Aab E Hayat Peete Hain
Sukhe Honton Se Hee Hoti Hain Meethi Baatein,
Pyas Jab Bujh Jaati Hai Toh Lehje Badal Jaate Hain
Aaj Bhi Sheher Mein Pagal Dil Ko,
Teri Deed Ki Aas Rahi Aaj Bhi Shaam Udas Rahi
Soo Baar Chaman Mehaka, Soo Baar Bahar Aayi
Duniya Ki Wohi Ronaq, Dil Ki Wohi Tanhayi
Iss Khak Ko Kisi Khak Ki Kya Khak Khabar Hai,
Yeh Toh Khud Khak Ho Raha Hai Kisi Khak Ki Khatir
Bichra Kuch Iss Adase Ke Ruth Hee Badal Gayi,
Ek Shaks Saare Sheher Ko Weeran Kar Gaya
Mujhe Chor De Mere Haal Per Tera Kya Bharosa Ae Humsafar,
Teri Mukhtasir Si Nawazishein Mera Dard Aur Barha Na Dein
Ishq Ke Nashe Mein Doobe Toh Yeh Jaana Hum Ne Faraz,
Ke Dard Mein Tanhai Nahi Hoti, Tanhai Mein Dard Hota Hai
Bazam E Wafa Mein Apni Gareebi Na Pooch,
Ek Dard E Dil Hai Woh Bhi Kisi Ka Diya Hua
Chahun Toh Bhi Na Mita Paun Ga Tera Dil Se,
Mitaye Woh Lafz Jaate Hain Jo Ghalti Se Likhe Hon
Ab Ki Baar Aik Ajeeb Si Khwahish Uthi Hai Dil Mein,
Koi Tut Kar Chahe Mujhe Aur Main Bewafa Niklun
Phoot Parta Hai Dard Ka Chashma,
Yaad Jab Aeriyaan Ragarti Hai
Ek Woh Hain Jinhein Yaad Nahi Qissa E Maazi,
Ek Hum Hain Abhi Bhi Pehli Mulaqat Nahi Bhule
Tarteeb E Sitam Ka Bhi Saleeqa Tha Ussey,
Pehle Pagal Kia Mujhe Phir Pathar Maare
Mohabbat Naam Hai Jiska Woh Aesi Qaid Hai Yaaro,
Ke Umarein Beet Jaati Hain Saza Poori Nahi Hoti
Tum Qayamat Ka Naam Doh Ge Issey,
Waqt Apni Thakan Utaare Ga
Zabt Tehzeeb Hai Mohabbat Ki,
Aur Tum Samajhte Ho Be Zuban Hain Hum
Patton Ki Tarah Mujh Ko Bikherta Tha Zamana,
Ek Shaks Ne Yekja Kia Aur Aag Laga Dee
Kuch Bhi Dikhta Nahi Tumhare Siwa,
Aur Tum Hee Nazar Nahi Aate
Faqeeran Ishq Hun Ek Dar Se Lagi Bethi Hun,
Bikhaaran Hoti Toh Dar Dar Pe Pari Milti Main
Ab Jo Khoon Daman Pe Gira Hai Toh Shikayat Kaisi,
Main Na Kehta Tha, Mujhe Dur Se Maaro Pathar
Chand Lamhon Mein Maut Hui Mohabbat Ki,
Aik Zamane Se Iddat Mein Bethi Hun
Reza Reza Hona Banta Hai Mera,
Utra Hai Mere Dil Pe Tera Ishq Mukammal
Yeh Alag Baat Ke Cheekhein Nahi Aati Bahar,
Aadmi Ab Bhi Chune Jaate Hain Deewaron Mein
Ishq Jis Se Bhi Karo Yaad Yeh Rakhna Ae Dost,
Chor Jaate Hain Parinde Bhi Shajar Ko Ek Roz
Tum Pe Beete Jo Qayamat Tanhai Ki,
Tum Bhi Kehte Phiro Azab, Azab Hai Ishq
Sainkaron Dilkash Baharein Thien Hamari Muntazir,
Hum Teri Khwahish Mein Lekin Thokrain Khate Rahe
Dhondta Phirta Hon Aey Iqbal Apny Aap Ko
Aap Ki Goya Musafir, Aap Hi Manzil Hon Main
Khak Ko Khak Le Uri Sayam
Takubar Reh Gya Wehain Ka Wehain
Chaba Lain Kun Na Khud Hi Apna Dhancha
Tumhain Ratab Muhaya Kyun Krein Ham
Aya Hi Tha Abi Mere Lab Pe Wafa Ka Naam
Kuch Doston Ne Hath Mein Pathar Uta Liye
Sukoon De Na Saki Rahatein Zamane Ki,
Jo Neend Aayi Tere Gham Ki Chaon Mein Aayi
Mojza E Ishq Na Kahun Toh Kya Kahun,
Hijr E Yaar Ne Kia Zaeef Ek Jawan Ko
Jo Aankhen Keh Deti Hain,
Unke Aagey Lafzon Ka Darja Kya
Aik Hee Shaks Pe Luta Dete Hain Jo Zindagi Apni,
Aese Log Ab Kitaabon Mein Mila Karte Hain
Na Chahat Ke Andaz Alag , Na Tere Mere Jazbaat Alag
Thi Saari Baat Lakeeron Ki Tere Hath Alag , Mere Hath Alag
Gulab Saare Madham Dekhayi Dete Hain,
Nazar Jab Bhi Tere Chehre Ka Tawaaf Karti Hai
Tujhe Yun Toot Kar Chaha Wajood Apna Mita Daala,
Khuda Ko Paa Chuke Hote Jo Karte Bandagi Itni
Umar Beet Gayi Per Ek Zara Si Baat Samajh Na Aayi,
Ho Jaye Jinse Mohabbat Woh Log Kadar Kyun Nahi Karte
Na Janay Kon Sa Aasaib Dil Main Basta Hai
Keh Jo Bhi Thehra Wo Aakhir Makan Chor Gaya
Bey Noor Si Lagti Hai Us Se Bichar Kar Zindagi
Zaid Ab Chirgh To Jalty Hain Magar Ujala Nahi Karty
Mere Kano Ko Dastak Ki Zaroorat Nahi Parti
Mujhy Ishq Uthata Hai Azaan Se Pehly
Le De Key Apne Pass Faqt Aik Nazar Tu Hai
Kun Dekhen Zindagi Ko Kisi Ki Nazar Se Ham
Mat Poch Ke Kis Tarah Se Chal Rahi Hai Zindagi
Us Dor Se Guzar Rahe Hain Jo Guzarta Hi Nahi
Kabi Sehar Tu Kabi Shaam Le Gya Muj Se
Tumhara Dard Kyi Kaam Le Gya Muj Se
Us Se Milna Tu Usay Eid Mubarak Kehna
Ye Bhi Kehna Ke Meri Eid Mubarak Kar De
Yahan Mazdoor Ko Marne Ki Jaldi Kuch Yun Bhi Hai Mohsin
Keh Zindagi Ki Kashmakash Main Kafan Mehnga Na Ho Jaye
Dekha Kitab E Ishq Ke Awraaq Khol Kar
Awal Bhi Tera Naam Tha, Aakhir Bhi Tera Naam
Nit Naye Iraadon Main Itna Ghafil Hon Ke
Waqt E Qaza Bhi Qaza Hony Ko Hai
Naraz Karne Wale Teri Koi Khata Hee Nahi,
Mohabbat Kya Hoti Hai Shayad Tujhe Pata Hee Nahi
Mere Dil Mein Utar Sako Toh Shayad Yeh Jaan Lo,
Kitni Khamosh Mohabbat Tum Se Karta Hai Koi
Kaash Main Tere Naam Ka Nukta Hota,
Tum Tum Na Rehte Agar Main Na Hota
Mohabbat Mein Wafa Dhundte Ho,
Goya Pathar Mein Khuda Dhundte Ho
Mat Kiya Kijiye Din Ke Ujalon Ki Khwahishein,
Yeh Aashiqon Ki Bastiyan Hain Yahan Chand Se Dn Nikalta Hai
Aadat Unki Ab Kuch Iss Tarah Ho Gayi,
Ab Unki Berukhi Se Bhi Mohabbat Ho Gayi
Ishq Karna Hai Toh Phir Chak-E-Girebaan Kar Le,
Hosh Walon Se Kaha Raqs-E-Junoo Hota Hai
Pehle Dosti, Phir Mohabbat Aur Phir Bilawajah Nafrat,
Bari Tarteeb Se Ek Shaks Ne Tabah Kia Mujhe
Hum Ne Kab Ki Hai Tere Ishq Ki Shiddat Mein Kam,
Hijr Bhi Sab Se Bara Hum Ne Chuna Hai Tera
Yun Hee Pyar Mein Rota Nahi Koi,
Jissey Hadh Se Zyada Chaho Woh Rulata Zarur Hai
Ham Se Rotha Bhi Gaya Ham Ko Manaya Bhi Gaya
Phir Sabhi Naqsh Ta’luq Ke Mitaye Bhi Gaye
Sari Basti Qadmon Main Hai, Ye Bhi Ik Fankari Hai
Warna Badan Ko Chor Ke Apna Jo Kuch Hai Sarkari Hai
Hosla Kis Mein Hai Yusuf Ki Khredari Ka
Ab Tu Mehngyi Ke Charche Hain Zulaikhaon Mein
Dil Ka Kya Hai Dil Ne Kitne Manzir Dekhe Lekin
Aankhen Pagal Ho Jati Hain Aik Khayal Se Pehle
Kis Liye Mohsin Kisi Be Muhar Ko Apna Kahon
Dil Ke Sheshy Ko Kisi Pathar Se Kyun Takraon Main
Dil Ki Manzil Us Taraf Hai Ghar Ka Rasta Is Taraf
Aik Chehra Us Taraf Hai Aik Chehra Is Tara
Duniya Bhi Mili Hai , Gham E Duniya Bhi Mila Hai
Woh Kyun Nahi Milta Jissey Maanga Tha Khuda Se
Na Chahat, Na Mohabbat, Na Ishq Aur Na Wafa,
Kuch Bhi Nahi Tha Us Shaks Ke Paas Siwaye Husn Ke
Taluq Kitna Gehra , Rabt Kitna Khoobsurat Hai,
Labon Per Muskuraha Aur Seeno Mein Kadurat Hai
Hasrat Hai Tumhari Deed Karein,
Tum Aao Toh Hum Bhi Eid Karein
Utha Kar Phool Ki Patti Nazakat Se Masal Dali,
Ishare Se Kaha Hum Dil Ka Aesa Haal Karte Hain
Ab Tu Khud Apni Zarorat Bhi Nahi Hai Ham Ko
Wo Bhi Din Thay Ke Kabhi Teri Zarorat Ham Thay
Apny Ghar Ko Wapis Jao Ro Ro Kar Samjhata Hai
Jahan Bhi Jaon Mera Saya Pechy Pechy Aata Hai
Kia Janay Kia Likha Tha Usay Iztarab Main
Qasad Ki Lash Ayi Hai Khat Ke Jawab Main
Mein Bhi Bohat Ajeeb Hun Itna Ajeeb Hun Keh Bas
Khud Ko Tabah Kar Liya Aur Malal Bhi Nahi
Aks O Aaina Main Ab Rabt Ho Kya Tere Baad
Ham Tu Phirty Hain Khud Apnay Se Khafa Tere Baad
Tofan-E Gham-E Ja’na Guzar Hi Jaye Ga
Dekhna Hai Hosla Kitna Badbaan Main Hai
Zabat Bhi Sabar Bhi Imkaan Mein Sab Kuch Hai
Pehle Kam-Bakht Mera Dil Tu Mera Dil Ho Jaye
Apni Yaadon Se Kaho Aaj Chuti De Dein Mujhe,
Ishq Ke Hisse Mein Bhi Aik Itwar Hona Chaiye
Suna Hai Log Jahan Khoyein Wahin Milte Hain,
Main Apne Aap Main Tujh Ko Talash Karta Hun
Ussey Kehna Ke Chahat Ka Bahram Tutne Na Dena,
Tum Pal Do Pal Hee Aa Jaana Suna Hai Eid Aayi Hai
Dil Jo Tute Tera Toh Mere Paas Chale Aana,
Mujhe Mere Jaise Logon Se Mohabbat Hai
Hazaron Gham Hain Lekin Aankh Se Tapka Nahi Aansu,
Hum Ahl E Zarf Hain Peete Hain Chalkaya Nahi Karte
Thandi Thandi Hawa Chal Pari Hamare Weerane Mein,
Andaz Bara Zalim Hai December Tere Aane Ka
Kisi Ke Sath Pyar Se Mazak Zarur Karna,
Magar Kabhi Kisi Ke Sath Mazak Se Pyar Na Karna
Humein Tum Bhool Jaoge Humein Maloom Hai Lekin,
Palat Kar Jab Bhi Aao Ge Mohabbat Muntazir Hogi
Tujhko Manzoor Nahi Thi Jo Mohabbat Meri,
Mere Barhte Huye Kadmon Ko Toh Roka Hota
Mere Halaat Pe Muskurate Ho Sahab,
Bad’dua Hai Tumhe Bhi Ishq Ho Jaye
Aks O Aaina Main Ab Rabt Ho Kya Tere Baad
Ham Tu Phirty Hain Khud Apnay Se Khafa Tere Baad
Tofan-E Gham-E Ja’na Guzar Hi Jaye Ga
Dekhna Hai Hosla Kitna Badbaan Main Hai
Zabat Bhi Sabar Bhi Imkaan Mein Sab Kuch Hai
Pehle Kam-Bakht Mera Dil Tu Mera Dil Ho Jaye
Bulbul Ke Karobar Pey Hain Khanda Hae Gul
Kehte Hai Jis Ko Ishq Khalal Hai Dimagh Ka
Kochay Ko Tere Chor Kar Jogi Hi Ban Jayen Gey
Jungle Tere Parbat Tere Basti Teri Sehra Tera
Phir Hua Aese Ke Mujhko Dar Badar Karne Ke Baad,
Naam Ussi Basti Ka, Mere Naam Per Rakha Gaya
Parhta Tha Main Namaz Samajh Kar Ussey Rashid,
Phir Yun Hua Ke Mujhse Qaza Ho Gaya Woh Shaks
Ishq Mein Mera Tutna Toh Lazmi Hee Tha,
Kanch Ka Dil Tha Aur Mohabbat Pathar Se Ki
Maloom Bhi Hai Ke Yeh Mumkin Nahi Hai Magar,
Ek Aas Si Rehti Hai Ke Tum Eid Pe Yaad Karoge
Woh Bhi Shayad Roo Pare Weeran Kaghaz Dekh Kar,
Maine Uss Ko Aakhri Khat Mein Likha Kuch Bhi Nahi By Zahoor Nazar
Ishq Ne Ussey Pathar Kardia,
Woh Ek Larki Jo Hooron Jaisi Thi
Har Aik Chor Jaata Hai Bazar E Mohabbat Mein,
Bhar Jaye Dil Toh Log Khilona Badal Liya Karte Hain
Luta Ke Pyar Ki Daulat, Khareede Khoon Ke Aansu
Mili Jo Ishq Mein Hum Ko, Woh Jageer Toh Dekho
Chalo Acha Hua Eid Ab Ke Bhi Tanha Guzar Gayi,
Gale Mil Ke Bahut Rote Jo Tum Aa Jaate
Dushmano Se Mohabbat Hone Lagi Mujhe,
Jaise Jaise Apno Ko Azmaate Chale Gaye
Ustad Ishq Sach Kaha Tu Ne Bahut Nalaiq Hun Main,
Muddat Se Ek Shaks Ko Apna Banana Nahi Aaya
Humein Samjho Na Khush Itna Labon Ki Muskurahat Se,
Hamari Aankh Mein Pehle Hazaron Hadse Dekho
Talab Maut Ki Karna Gunaah E Kabeera Hai Saqi,
Marne Ka Shauq Hai Aao Tumhe Ishq Ki Taleem Dun
Koi Toh Baat Hai Dil Mein Aur Itni Gehri Hai,
Teri Hansi Teri Aankhon Tak Nahi Ponchi
Hazaron Chehron Ke Hote Huye Ek Tum Pe Mar Mittay,
Warna Na Chahat Ki Kami Thi Na Chahne Walon Ki
Aik Saal Aur Beet Gaya Ussey Dhundte Ussey Khojte,
Ae Zindagi Aik Ehsaan Kar, Mere Humsafar Ka Pata Bata
Silsila E Chahat Toh Dono Ka Ajab Tha Ae Dost,
Woh Meri Jaan Chahta Tha Aur Main Jaan Se Zyaada Ussey
Maqam E Mohabbat Tum Ne Samjha Hee Nahi Warna,
Jahan Tak Tera Saath Hai Wahin Tak Zindagi Meri
Mohabat Karne Walon Ki Tajarat Bhi Anokhi Hai
Manafa Chor Dete Hain Khasaray Baant Lete Hain
Ye Maza Tha Dil Lagi Ka Ke Brabar Aag Lagti
Na Tujhe Qarar Hota Na Mujhy Qarar Hota
Auqat Ki Baat Mat Kijiye
Aap Jese Rula Ke Aaya Hun
Kabhi Aey Haqeqat-E Muntarzi Nazar Aa Libas-E Majaz Main
Ke Hazaron Sajday Tarap Rahay Hain Meri Jabeen-E Niaz Main
Na Koi Gham Khazan Ka Hai Na Hai Khwahish Baharon Ki
Hamary Sath Hai Amjad Kisi Ki Yad Ka Mosam
Thak Gaya Aashiq Mohabat Ki Laash Uthaty Uthaty
Dil Hai Ke Janaza Parhta Hi Nah
Main Bhi Kuch Khush Nahi Wafa Kar Ke
Tum Ne Bhi Acha Kia Nibah Na Ki
Bahut Hee Mohtabar Hain Jin Ko Mohabbat Raas Aa Jaye,
Kisi Ko Raah Badalne Mein Zara Si Deir Lagti Hai
Woh Na Bhi Mile Toh Kya Hua Yeh Ishq Hai Hawas Nahi,
Main Unhi Ka Tha Unhi Ka Hun Woh Mere Nahi Toh Na Sahee
Musalsal Ishq Ki Baazi Jo Na Khelo Toh Behtar Hai,
Mohabbat Aag Jaisi Hai Jala Kar Raakh Kar De Gi
Khud Pe Beeti Toh Rote Ho, Tarapte Ho, Sisakte Ho,
Hum Ne Jo Kia Tha Woh Kya Ishq Nahi Tha ?
Aansu, Aahain, Tanhai, Veerani Aur Gham E Musalsal,
Ek Zara Sa Ishq Hua Tha, Kya Kya Virasat Mein De Gaya
Shouq Yeh Tha Mohabbat Mein Jaleinge Chup Chap,
Ranj Yeh Hai Tamasha Na Dekhaya Koi
Shayari Sach Mein Mohabbat Ka Lahoo Mangti Hai,
Sher Kehna Hai Toh Phir Yaar Ganwana Hoga
Maan Ki Dua Na Baap Ki Shafqat Ka Saya Hai
Aaj Apny Sath Apna Janam Din Manaya Hai
Baal Apny Barhaty Hain Kis Wastay Dewany
Kya Shehr Mohabat Main Hajam Nahi Hota
Har Aik Kaante Pe Surakh Kirnain Har Ik Kali Mein Chiragh Roshan
Khayal Mein Muskarane Wale Tera Tabssam Kahan Nahi Hai
Aaj Phir Maan Mujhe Maray Gi Bohat Ronay Par
Aaj Phir Gaon Main Aaya Hai Khilonay Wala
Main Chahta Hun Haqeeqat Pasand Ho Jaon
Magar Hai Is Mein Ye Mushkil Haqeqatain Hain Bohat
Tum Meri Taraf Dekhna Choro Tu Bataon
Har Shakhs Tumhari Hi Taraf Dekh Raha Hai
Do Hee Gawa Thay Meri Mohabbat Ke,
Waqt Aur Woh, Aik Guzar Gaya Dusra Mukar Gaya
Ustad Kyun Roya Tha Kin Halaat Ka Maara Tha,
Bachon Ko Seekhaya Jo Mohabbat Kaise Likhte Hai
Sath Nebhane Ka Wada Kiya Tha Aur Apna Hath Diya Tha Mujhko
Phir Kyun Peeche Mur Kar Nahi Dekha Hame, Ab Kyun Bhul Gaye Ham Ko
Aaya Tha Unka Khat Yeh Ke Humein Bhool Jao,
Hum Ne Jawab E Khat Mein Kinara Jala Diya
Dard E Dil Ki Aah Tum Na Samajh Sako Ge Kabhi,
Har Dard Ka Maatam Sar E Aam Nahi Hota
Zakham De Kar Na Pooch Dard Ki Shiddat,
Dard Toh Phir Dard Hai Kam Kya Zyada Kya
Na Zameen Apni Na Aasman Apna,
Duniya Mein Nahi Koi Maqam Apna
Woh Jo Ishq Tha Woh Khayal Tha,
Yeh Jo Hijr Hai Yeh Naseeb Hai
Chahat, Fikar, Taqdeer, Ishq O Mohabbat Aur Wafa,
Meri Inhi Aadaton Ne, Mera Tamasha Bana Diya
Mohabbat Karne Walon Se Tu Maange Saron Ki Bali,
Arey Ishq Kuch Khayal Kar Yeh Toh Rasm Hai Kafirana
Aaj Toh Dil Ke Dard Per Hans Kar,
Dard Ka Dil Dukha Diya Maine
Suna Tha Dard Ka Ehsaas Toh Apno Ko Hota Hai,
Jab Dard Hee Apne Dein Toh Ehsaas Kaun Kare
Hum Ne Mohabbaton Ke Nashe Mein Ussey Khuda Bana Daala,
Hosh Tab Aaya Jab Usne Kaha Ke Khuda Kisi Aik Ka Nahi Hota
Jissey Dhundta Hai Mann Yahan Wahan,
Woh Toh Basta Hai Tute Huye Dil’on Mein
Tum Mujhe Jitni Aziyat De Sakte Thay Tum Ne Dee,
Ab Tum Dekho Ge Mera Sabr Aur Meri Khamoshi
Suno Har Roz Rula Dete Ho,
Kisi Ke Dard Se Dard Nahi Hota Tumhe
Jab Nazaray Thay Tu Aankhon Ko Nahi Thi Parwa
Ab Inhi Aankhon Ne Chaha Tu Nazaray Nahi Thay
Hai Dua Yaad Magar Harf-E Dua Yaad Nahi
Mere Naghmaat Ko Andaaz Nawa Yaad Nahi
Haseen Teri Aankhien Haseen Tere Aansu
Yehin Dob Jane Ko Jee Chahta Hai
Nafi Tum Ho Nahi Sakte, Jama Se Tum Ko Nafrat Hai
Taqseem Tum Ko Karte Hain Tu Zarb Dil Par Lagti Hai
Jo Kaha Mein Ne Keh Payar Aata Hai Mujh Ko Tum Par
Hans Ke Kehne Laga Aur Aap Ko Aata Kya Hai
Is Liye Tu Bachon Par Noor Barasta Hai
Shirartain Tu Karte Hain Sazishain Nahi Karte
Tu Bhi Ae Shakhs Kahan Tak Mujhe Bardasht Karey
Bar Bar Aik Hi Chehra Nahi Dekha Jata
Rooth Janay Ki Ada Ham Ko Bi Ati Hay
Kash Hota Koi Ham Ko Bi Mnane Wala
Ishq Ke Izhaar Mein Har Chand Ruswai Tu Hai
Par Kron Kya Ab Tabiyat Aap Par Ayi Tu Hai
Jab Kabi Tot Kar Bikhro Tu Btana Ham Ko
Ham Tumhai Rait Ke Zaron Se Bi Chun Sakte Hain
Woh Zindagi Jissay Zindagi Se Nisbat Thi,
Tumhari Zulf E Paresha’n Pe Waar Dee Hum Ne
Zinda Hee Dafna Deti Hoon Akser,
Lahasil Tamana Ko Palne Nahi Deti
Maine Har Sham Yehi Socha Hai,
Umar Guzari Hai Ke Din Guzara Hai
Khawab O Khayal Ki Saltanat Mein Hum,
Bichare Hu’on Ke Sath Bari Deir Tak Rahe
Aaiye Sahab Bethiye, Hukam Kijiye, Kya Paish Karun,
Khawab Hazir, Armaan Hazir, Dil Hazir, Jaan Hazir
Rangon Se Darr Nahi Lagta Sahab,
Rang Badalne Walon Se Lagta Hai
Rehte Hain Garq Unke Tasawar Mein Shab O Roz Sahab,
Ek Din Hamari Jaan Mohabbat Mein Jayegi
Raqs E Dil Hai Jaari Tere Ishq Ke Saazon Pe,
Koi Aesa Sur Na Cher Ke Dil Tarap Ke Marjaye
A sad message
When I was small I laughed less but there was infinite hidden joy
As I grew up, I learn to laugh a lot to hide the unspoken SADNESS..
Sad poem of love in hindi
Ishq ne hume Rula Diya
Jis Per Marte The usne hi hame bhula Diya
hum to unki yadon mein hi jee laitay,
magar unhone to yaadon mein hi ZEHER mila diya
Sad poetry for love in urdu
Ye raat itni tanha kiyu hoti hain?
Aapne kismat se sabko sikayad kiyu hoti hain?
Ye kismat bhi ajeeb khel khelti hain,
Jise hum paa nahi sakte,
Ussise hi mohabbat kiyu hoti hain?
Sad love quote in hindi
Usey Kehna K Mere Marny Par Aansoo na bahay.....!
K Mujhe Apni Mout Sy Ziada Usky Aanso ka dukh ho ga.
Sad sms about love
USNE PUCHA MAIN KANHA HOON? maine kaha tu meri saanso main dil main khayalo main dhadkan main ruh main nas nas main hai..USNE POOCHA MAIN KANHA NAHI HOON? maine kaha shayad meri "KISMAT MAIN".
A painful sad quote about love
Mujhe aaj bhi uske pyaar ki shiddat ronay nahi deti
Wo Kehte The Mar Jayenge Tere Aansun K Girne Se Pehle...
A sad love quote
Dil yeh nadaan na samjhe duniya ki rashmo ko,
Chali hai ishq ka izaar karne..
Lakh manaya padh phir bhi na mana kamwaqt ne
Zaher pi karr bhi rok na paya
Aankhon ki aasuyon ko.
A sad love saying
In aansuon ki kuch to kadar karr meri jaan
Isme chupa hai mohabbat tere liye
Youn to mera zanazaa uthega teri jane ke baad
Jisme ek tajmahal banayenge tere liye.
A sad saying and sms
Kar diya kurban khud ko, hamne wafa ke naam par,
Chod gaye wo hamko akela majburiyo ke naam par.
A heart touching sad message
Kabhi Na Aaye Mere Saath Chalke..
Hamesha Gaye Muje Barbaad Karke..
Agar Kabhi Aa Jao Meri Mayaat Pe..
To Keh Dena Abhi Soya Hain Tuje Yaad Karke
A sad message about broken heart
Sheeshe ke dil me thi tasveer teri bassi,
Sheesha toh tod diya, parr tasveer na chura saki..
Mila kya tujhe mere iss dil se khelkar,
Jaan hi chahiye thi toh maang kar dekhi hoti...
Gham hain use hum rok na sake - a sad poem
Gham hai ki woh hume samajh na sake,
hum mil karr bhi mil na sake,
do pal ki khushuyan thi meri zindegi mein,
gam hai ki ushe v hum rok na sake
A sad message about love
dil mein patthar rakh ke unse mooh mora humne,
khud ko tod k unka dil toda humne,
na jane kitane sitam saha tere liye is dil ne,
padh kuch gila v na kar paya humne
Khushiyaan ek kahani ban k - A sad sms
Khushiyaan ek kahani ban k rah gayi,
milte milte yeh dooriyaan badti gayi,
na jane kahaan gayi woh khilti huyi mausam,
dil mein ek andhera si cha gayi.
A sad message - couldnt hide my love
Apne pyar ko chupana chaha par chupa na sake,
diwane dil pe kabu hum pa na sake,
aaj itne karib se gujar gaye wo,
phir bhi unka hath hum tham na sake
A sad shayari about sacrifice
Dard se hath na milate to or kya karte,
Gam ke aansoo na bahate to or kya karte.
Usne maangi thi humse roshni ki dua,
Hum khud ko na jalate to or kya karte.
A nice sad sms
Dil rote gayi padh honto se muskaan na chuta,
zindegi humse dur huyi padh pyaar ka dhaga na toota,
samne hai kohra hi kohra padh teri surat aankhon se na chuta
Kuch Aesy Kaam Ab Kar Jaon Ga Main
Dil Ki Rahon Se Utar Jaon Ga Main
Meri Ta’amer Main Saraf Hoye Hain Zarrat
Chona Mat Mujhy Bikhar Jaon Ga Main
Tanhai Ki Ho Jaye Gi Itni Aadat Mujhy
Apny Hi Saaye Se Dar Jaon Ga Main
Ghalat Thehra Har Koi Meri Pehchan Mein
Allag Tasveer Thi Meri Marey Gumaan Mein
Bigaar Kar Insaan Is Zameen Ke Khadd-O-Khaal
Talaash Karta Hai Naya Ghar Aasman Mein
Darasal Apna Hi Aks Daikhta Hai Har Koi
Lagey Hain Har Taraf Aaiine Jahan Mein
Tha Buhat Mann Jin Par
Woh Buhat Be-Eman Niklay
Alfaz Jessay Bhi Ho Jiss Tarah Kay Bhi Ho
Log Matlab Siraf Apni Marzi Ka Nikltay Hai
Ainay Mein Meinay Dekha Hai Aik Shakss
Naraz Dunya Say Hai Baat Khud Say Bhi Nahi Karta
Tha Janazay Mein Shahrik Sara Shahr
Auss Kay Jo Khud Tanha Mar Gaya
Buhat Rah Liya Iss Jesam Mein Ab Aradah Yehi Hai
Khali Kar Do Iss Jesam Ko Waran Kar Do Pura Shahr
Meri Audassi Ko Mera Shokh Na Samjhna
Buhat Pyar Say Diya Hai Tuhfa Kesi Nay
Bazz Defa Khmushi Bhut Kuch Kah Deti Hai
Kan Laga Kar Nahi Sahab Dil Laga Kar Suniyay
Jetna Badal Shakhta Tha, Autna Badal Liya Khud Ko
Ab Jiss Ko Shakayat Hai Woh Zara Khud Ko Badal Kar Dekh Lay
Kantay Toh Phir Kantay Hai Hazoor
Humay Toh Phuloin Kay War Say Dar Lagta Hai
Bass Itni Si Baat Par Naraz Hai Waqt Humsay
Kay Zamanay Kay Andaz Hum Nay Na Shekhay
Jo Baatein Pi Gaya Mein
Wohi Baatein Kha Gein Mujhko
Lota Kar Har Khushi Zamanay Par
Zamanay Nay Humay Kien Ka Na Chohra
Yeh Eid Bhi Guzari Hasbay Mamool
Kapray Beshak Nai Magar Yaadein Wohi Purani
Charha Kay Nafroutoh Ki Bhear Humko
Pouchtay Ho “Kesy Ho”
Iss Say Phelay Kay Be-Wafa Ho Jai
Aeh Dost Kiyon Nah Hum Juda Ho Jai
After Hanging Us In Hate
You Ask “How Are We”
Talk About Strangers The Pains That We Get Was All From Ours
And All Happiness We Get Was All From Others
One Day You Will Miss Me
My Smile, My Words That You Take From Me
I Live Alone Its Not My Choice
It Is A Gift That Someone Gives Me
My Love For You Has No Boundaries
You Are The Reason Behind Everything Good In My Life
Saying Sorry Doesn’t Mean There Isn’t Guilt
And Forgiving Doesn’t Mean The Pain Is Over
I Changed Myself To Agree With Others
They Changed Themselves To Give Me Pain
They Always Hurt Me When I Need Them
When They Need Me I Only Love Them
Sad Poetry English
Sad Poetry Urdu
Sad Poetry In Urdu
Sad Poetry In Urdu 2 Lines
Sad Poetry In Urdu 2024
Sad Poetry About Life
Sad Poetry Sms In Urdu 2 Lines
Sad Poetry Urdu
Sad Poetry English
Sad Poetry Sms
Sad Poetry In Urdu 2024
Sad Poetry Status
Sad Poetry In Urdu Text
Sad Poetry Sms In Urdu 2 Lines
Sad Poetry In Urdu 2024
Sad Love Poetry In Urdu
Sad Shayari Urdu
Happy Poetry In Urdu
Poetry About Life In Urdu
Lonely Poetry In Urdu
Sad Poetry In Urdu Text
Sad Poetry Sms In Urdu 2 Lines
Sad Poetry In Urdu 2 Lines About Life
Very Sad Poetry In Urdu Images
Sad Poetry In Urdu 2024
Sad Poetry Urdu Sms
Sad Poetry Urdu 2 Lines
Lonly Poetry Urdu
Sad Poetry Urdu In English
Sad Poetry Urdu Status
Sad Poetry Urdu Copy Paste
Sad Poetry Urdu Written
Sad Poetry Urdu Download
Sad Poetry Urdu For Friends
Love Sad Poetry Urdu
Very Sad Poetry Urdu
Best Sad Poetry Urdu
Death Sad Poetry Urdu
Eid Sad Poetry Urdu
Barish Sad Poetry Urdu
December Sad Poetry Urdu
Father Sad Poetry Urdu
Deep Sad Poetry Urdu
The Most Sad Poetry Urdu
Sad Love Poetry Urdu
Sadest Poetry Urdu
Sad December Poetry Urdu
Sadgi Poetry Urdu
Saddest Poetry Urdu
Sad Heart Broken Poetry Urdu
Sad Death Poetry Urdu 2024
Sad Deep Poetry Urdu
Sad Eid Poetry Urdu
Sad Bewafa Poetry Urdu
Sad Love Poetry In Urdu
Sad Poetry Sms In Urdu 2 Lines
Very Sad Poetry In Urdu Images
Sad Poetry In Urdu 2024
Sad Poetry About Life
Urdu Sad Poetry Sms In Urdu Writing
Sad Love Poetry In Urdu
Sad Poetry Sms In Urdu 2 Lines
Very Sad Poetry In Urdu Images
Sad Poetry In Urdu 2024
Saddest Poetry Ever In Urdu
Most Saddest Poetry In Urdu
World Saddest Poetry In Urdu
Saddest Love Poetry In Urdu
deep poetry in urdu